Dialogues from Movies for Parties
Desh premee mara nahi karte ... amar ho jate hai
Jis tarah har jurm ka ek daag hota hai ... us hi tarah begunahi ka ek saboot bhi hota hai
Joh log paisa kamakar apna imaan gavah dete hai ... woh daulat hote hue bhi fakiron se battar hai
Baap ki arthi bete ke kandhe pe jaya karti hai ... bete ki arthi baap ke kandhe pe nahin
Tumhare raj mein toh zulm ke khilaaf awaaz uthana bhi jurm hai
Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata
Tumhari maa toh kohd se mar gayi bete ... magar is Bharat maa ko kohd mat hone dena
Firangi sarkar ke pass koi aisi goli nahin joh ek desh premee ke seene ko paar kar sake
Taqdeer kabhi kabhi insaan ko apne hi desh mein pardesi bana deti hai
Joh zindagi bhar doondha, woh paaya nahi ... aur joh paaya, usse chaha nahi
Hamare mulk mein ek aadmi ko dus rupaiya ko gyarah rupaiya banane mein zindagi khap jaati hai ... lekin dus lakh ko gyarah lakh banana baayen haath ka khel hai
Zindagi badi ajeeb cheez hai ... kabhi kabhi kisi se pehli bar milne par aaisa lagta hai, na jaane kitne dino se jaan pehchan hai ... aur koi koi aaise bhi hote hai joh sari zindagi ek saath rehne par bhi anjaane lagte hai
Samay woh pal hai jis mein ek ajnabi se modh par ... udhar se aata ajnabi, idhar se aate ajnabi ko dekhkar ruk jaye ... aur sochne lage ki hum kabhi na kabhi, kahin na kahin pehle bhi mil chuke hai
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Paise se Mercedes khareedi ja sakti hai, makaan khareeda ja sakta hai, nursing home khareeda ja sakta hai ... zindagi ka har ek aaram khareeda ja sakta hai ... lekin dil nahi khareeda ja sakta hai
Ek amir jab marta hai toh peeche sukh chain chhodkar jaata hai ... lekin ek gareeb jab marta hai toh dukh dard chhodkar jaata hai
Pyar ko janne ya samajhne ki zaroorat nahi hoti hai ... sirf mehsoos karna hi kaafi hota hai
Koi rishta kitna hi bada, kitna hi gehra kyun na ho ... zindagi ka hissa hota hai ... zindagi kisi rishtey ka hissa nahi, ki ek rishta khatam ho jaye toh zindagi khatam ho jaati hai
Is duniya mein kuch muft nahi milta ... chahat ho ya zaroorat, paane ke liye kuch na kuch dena hi padta hai
Joh kabhi nahi daantte ... woh bahut sakht daantte hai
Sone ka bhav bhi biwiyon ke mijaaz ki tarah chadta jaa raha hai
Tere liye toh maine nark ke darwaze bhi bandh kar diye kamine
Mister ka murder ho gaya, murder ka mister ho gaya ... dono milake murder mystery ho gaya
Main tera dost hoon, tu haddi main gosht hoon ... tera mera saath hai, maut ki baat hai, dushman ki gardan mere haath hai ... yeh uski khopdi, yeh meri laat hai
Dosti joh hai na, bahut pavitra hai ... isko dosti hi rehne de ... iske upar pet, paisa, roti iski parchai na padne de
Main aadmi ke dimag ko bhi kaabu mein kar sakta hoon ... uske baad koi bhi aadmi kutte ki tarah dum hilakar mere ishaaron par chalne lagta hai
Farz ke aage main saathi, premika aur apni jaan tak kurbaan kar sakta hoon ... aur is waqt mera farz hai tumhari jaan lena
Pistol ke khel ka bas yahi toh mazaa hai ... jisne pehle chalayi uski jeet ... joh chuk gaya uski maut
Aaine ke paas toh kuch bhi nahi ... meri aankhon mein teri tasveer hai
Ab aap samne hai toh kuch bhi nahi hai yaad ... varna kuch aapse hum mein kehna zaroor tha
Kitne toofan uthaye aankhon ne, naav yaadon ki doobti hi nahi ... tujhse milne ki, tujhko paane ki koi tatbir soojti hi nahi
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye ... bus ek baar mera kaha maan lijiye ... is anjuman mein aapko aana hai baar baar ... deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
