Dialogues from Movies for Parties
Tu mujhe chahe na chahe yeh tere bas mein toh hai ... aur main tujhko na chahun yeh mere bas mein nahi
Kis kis tarah se mujhko na rusva kiya gaya ... gairon ka naam mere lahu se likha gaya ... kyun aaj uska zikr mujhe khush na kar saka ... kyun aaj uska naam mera dil dukha gaya
Waqt jin mein tumhare labon ka rang nahi ... woh waqt guzra nahi ... tehar gaya hai kahin
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ... ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... pyar ki shabnam mein unsune geeton ko ... sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare ... khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko ... bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko ... moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ... adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare
Joh jitna door ho ... utna hi paas rehta hai
Sawaal agar khud jawaab ho ... toh sawaal, sawaal nahi rehta
Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya ... tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki ... tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi
Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka ... aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum ... dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein ... kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ... haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Hum gayab hone waalo mein se nahi hai ... jahan jahan se guzharte hai jalwe dikhate hai ... dost toh kya, dushman bhi yaad rakhte hai
Do lafz hai ... tanha, akele ... lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi ban sakte hai
Woh baat joh lafzo mein ada ho jaye ... woh baat hi kya hui
Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ... door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta ... yeh mohabbat hai dilon ka rishta ... aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta ... tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi ... meri duniya ke har rang mein shamil tu hai ... tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
Phool khamosh rehkar bhi apne rang aur khusboo se bahut kuch keh jaate hai
Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ... tum hoti toh kaisa hota ... tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti ... tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota ... main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
Hum apne dhande mein jis kisike saath taluk rakhte hai ... uski agli, pichli, sari zindagi ka hisaab kitaab apni kitaab mein rakh lete hai
Apne desh mein ladkiyan kapde utaarkar nahi ... balki pehenkar khoobsurat lagti hai
Aap ek achche aadmi hai ... aur ek achche aadmi ke haath mein sharaab ki bottal achchi nahi lagti
Waqt se pehle aur naseeb ke baad koi cheez agar tere pass dene ko ho ... toh mujhe de dena
Kapde badalne se aadmi ki asliyat nahi badal jaati
Zindagi insaan ko laati hai, maut le jaati hai ... yeh sharaab beech mein kahan aati hai
Jiske sar pe tujh jaise dost ki dosti ka saaya ho ... uske liye bankar aayi maut, uske dushmano ki maut ban jaati hai
Sochna tumhara kaam nahi ... tumhara kaam mere soche huye par amal karna hai
Insaaniyat ke bazar mein mujh jaise do kaudi ke insaan ki vakat, aap jaise crorepati haiwaan se zyada hoti hai
Kal, aaj, aur kal, ek hi zanjeer ki teen atoot kadiyan hai
Shareer par kodhe barsane se aatma ko koi farak nahi padta
Hum toh un logon mein se hai joh is duniya mein sirf shareer lekar pehda huye hai ... hamari na toh taqdeer likhi jaati hai ... na hi aasman mein hamare muqaddar ke sitare hote hai
Apun jiske darwaze pe paon rakhta hai na ... uske aakha department ka darwaza band ho jaata hai
Kabhi kabhi insaan apne paap ka ek chota sa paudha chhodkar bhaag jaata hai ... lekin kismat us paudhe ko ek pedh banakar uske samne khada kar deti hai
Aaj ya toh insaaf hoga ... ya mamla saaf hoga
Apne kiye ki sazaa toh har insaan ko bhugatni padti hai ... lekin apna jurm kubool karne se, uski sazaa jhelna aasaan ho jaati hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
