Page 41 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Romance

Tag: Romance
41 (of 51 pages) | 32 (of 1626 items)
1 40 41 42 51
Dil pahad thodi na hai ... jahan se awaaz takrakar wapas laut aaye ... dil ki awaaz toh dil se takrati hai ... phir wahi bas jati hai
Kya main ek phool ki tarah khoobsurat ladki ko ek ... ladki ki tarah khoobsurat phool de sakta hoon
Meri zindagi aur maut par toh hukumat kar sakte hai aap ... lekin mere dil par nahi
by: Amrita Singh
from: Mard (1985)
code:
Jab pyar ki aag ek baar jalti hai ... toh woh kabhi nahi bujhti
Chand ki thandak bhi hai, ishq ki garmi bhi hai, farsh ki sakti bhi hai, jism ki narmi bhi hai ... thodi besharmi bhi hai
Sarakti jaye hai rukh se naqab aashista aahista ... nikalta aa raha hai aftab aahista aahista ... woh bedardi se sar kaate mera aur main kahun huzoor aahista aashita ... ab aa bhi jaiye aashita aahista
Ye ada jaane tamanna aap se seekhe koi ... jaankar anjaan banna aap se seekhe koi
by: Helen
from: Bond 303 (1985)
code:
Pyar ka naam hai judaai ... yahi judaai pyar ka inaam bhi hai aur pyar ki sazaa bhi
Mohabbat kabhi nahi marti ... mohabbat ko koi nahi maar sakta ... mohabbat ke phool hamesha khile rahenge
Ishq ki kismat ka faisla khud ishq hi karta hai ... koi doosra nahi
Jinka apna dil toota hota hai ... woh auron ka dil nahi todha karte
Aap bhi itna samajh le mujhko samjhane ke baad ... aadmi majboor ho jaata hai dil aane ke baad
Rajput ladki apne pyar ko keemti heeron ki tarah dil ki tijori mein band karke rakhti hai ... aur upar laga rehta hai sharam ka fauladi taala ... joh kabhi tootta hai toh sirf maut ke hathodon se tootta hai
Mera dil us mandir ki tarah hai jis mein ek baar joh murti bitha di jaati hai ... zindagi bhar ussi ki pooja ki jaati hai
Meri zindagi ek saaz ban gayi hai ... aur iske har taar par sirf tumhare hi pyar ka geet gaya ja sakta hai
Zakhm teri chaati mein hoga ... aur khoon mere dil se bahega
Yahi toh kamaal hai mohabbat ka ... woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai ... jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai
Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge ... lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega ... hamesha goonjta rahega
Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai
Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
Mujhe bhi giraftaar kar lo na ... pyar ki hathkadi lagakar dil ke lock up mein qaid kar lo na
by: Sridevi
from: Inquilaab (1984)
code:
Pehle main tumhare pyar mein deewani thi ... aaj main tumhare izzat ki deewani ho gayi
by: Sridevi
from: Inquilaab (1984)
code:
Jisne pyar na kiya ... woh jiya toh kya jiya ... aaj khule aam kehte hai ... rab se pyara hai piya ... yaar ke baahon mein jiye ... aur yaar ke kandhon pe mare ... yaar se yaari nibhayein ... dil se dildaari karen
by: Unknown
from: Divorce (1984)
code:
Tere bina main nahi, mere bina tu nahi ... hamare bina prem nahi, prem bina hum nahi
Aashiq ki jagah zameen pe nahi ... upar hoti hai
by: Manik Irani
from: Hero (1983)
code:
Qurbani se pyar amar ho jata hai
Patthar ki duniya, patthar ke dil, patthar ki Heer ... tu jaisi bhi hai manzoor hai
Pyar ek imtihaan hai ... aur nateeje se darne waalo ka pyar jhoota hota hai
Nazuk ladkiyan dadagiri karte huye achchi nahi lagti
Husn ka raaz zamane se chupaye rakhiye ... dil mein jalta hua ek shola dabaye rakhiye
Tum khud ek aaisi churi ho ... jiski dhaar par katne waala kat bhi jaye par uff na kare
Woh chalti toh zameen par hai ... lekin uske kadmo ke nishaan hamare dil par padte hai
1 40 41 42 51

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.