Dialogues from Movies for Parties
Tera husn meri taqat, teri tezzi meri himmat ... is sangam se joh aulad pehda hogi ... yun samajh aulad nahi faulad hogi
Jis din gareeb baghavat par utarta hai ... toh dhanwan toh kya usse bhagwan bhi nahi rok sakta
Buzdilon ke haath se goli nahi chala karti ... jaan wohi le sakte hai joh jaan dena jaante hai
Kutta bhi jahan tukda khata hai wahan wafadari dikhata hai ... tujhe toh kutta kehna bhi kutte ki beizzati karna hai
Sachai ka rishta khoon ke rishtey se ooncha hota hai
Insaan ko uske janam se nahi ... karam se parakhna chahiye
Satyam, shivam, sundaram ... policesam, arrestam, andarham
Nazaron se girne ke baad mandir ka devta bhi ... sirf ek patthar reh jaata hai
Musafir jab manzil se bhatak jaata hai ... toh waqt ki tapadein usse aur bhi gumrah kar deti hai
Jab ek musalman apni haan par utar aata hai ... toh bade se bade shaitan ka muqabla kar leta hai
Joh doosron ki duniya andheri karte hai ... unki apni duniya mein bhi kabhi roshni nahi aati
Nazuk rishtey tootne ke baad ... kabhi nahi judhte
Do baimaan apas mein bade imaandar hote hai
Madira ki dukaan mein gangajal ko bhi log sharab hi samajh lete hai
Jin rahon mein tum mere saath nahi chalogi ... vishvas karo un rahon mein bhatak-bhatakar main apni jaan de doonga
Hum tumhe woh maut maarenge ki ek baar maut bhi kaanp uthegi
Agar taqdeer mein maut likhi hai toh koi bacha nahi sakta ... agar zindagi likhi hai toh koi mai ka laal maar nahi sakta
Aap jis roti ko sone aur chandi ke bartanon mein khakar ghamand ka dakaar lete hai ... hum gareeb ussi roti ko mitti ke toote phoote bartanon mein khakar bhagwan ka gun-gaan karte hai
Manushya sari duniya par vijay prapt kar sakta hai ... lekin mrityu par vijay prapt kar nahi sakta
Bahaduri ka naya dhang sikha gaya hai koi ... chukake khoon ki keemat chala gaya hai koi ... Dharam aur Veer ka naam reh jaye dharti par ... sabak zamane ko aaisa sikha gaya hai koi
Mard ka khoon aur aurat ke aasoon jab tak na bahe ... unki keemat nahi lagayi ja sakti
Khuda meherban toh gadha pehelwan ... sambhal meri jaan ... ek hi vaar mein dikhaon Hindustan
Yeh haath bada ziddi hai ... gardan pakad le toh dum nikaal ke chhodta hai ... aur haath pakad le toh apna ke chhodta
Goli ke bagair pistol bekaar hai ... aur akal ke bagair dono bekaar hai
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Is duniya mein apne zakhm dikhane nahi chahiye ... varna yeh log marham ki jagah usse namak se bhar dete hai
Mohabbat mein chirag-e-gul zamane ki hawa thandi ... chahe jitni bhi aag jale ishq ki, hawa thandi ki thandi
Bina mushkil mein padhe kamyabi milti bhi toh nahi ... mushkilen itni padhi mujhpar ki aasaan ho gayi
Kisi ki shab-e-vasl haste kate hai, kisi ki shab-e-hijr rote kate hai ... hamari yeh shab kaisi shab hai ki ya rab, na haste kate hai na rote kate hai
Kutte ki zaat pehchanni ho toh uske aage haddi daal do ... aur aadmi ko pechanna ho toh usse daulat aur taqat de do
Jeena zaroori hai, jeene ke liye peena zaroori hai, peene ke liye jeena ... khair hum toh sharaab peete hai ... joh nahi peete, khaak jeete hai
Mujhe na chhedo yaaron main nashe mein hoon ... sheeshay mein main, main mein nasha, main nashe mein hoon
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
