dialogues for Tag: Romance
Tag: Romance
Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum ... umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse
Log toh ghar basakar, tamaam rishtey naate banakar bhi pyar ke chand lamhe nahi jee paate aksar ... lekin maine toh chand lamhon mein pyar ki mukammal zindagi ko paa liya hai tumse
Is kambakht neend ko kya hua ki aati hi nahi ... aur tumhari yaad hai ki jaati hi nahi
Pyar bhari zindagi ka ek pal ... bina pyar ki sadiyon se kahi bada hota hai
Allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud ... rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
Hum aankh kiye bandh tasavur mein pade ho ... aaise mein koi cham se aa jaye toh kya ho?
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar ... aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar
Jahan dil ki baat hai wahan taqat ki nahi ... nazaqat ki zaroorat hai
Do mithiyan galaan kar kudiye haske sadde naal ... arre saath khade hum dono lagte hai Sohni Mahiwal
Prem toh woh rog hai joh aasani se lagta nahi ... aur jab lag jaata hai na ... phir kabhi mitta nahi
Sabhi insaan ek jaise hi toh hote hai ... wahi do haath, do paun, aankhen, kaan, chehra ... sabke ek jaise hi toh hote hai ... phir kyun koi ek, sirf ek aaisa hota hai ... joh itna pyara lagne lagta hai ... ke agar uski liye jaan bhi deni padhe ... toh haste haste di ja sakti hai
Unko aata hai pyar pe gussa ... humko gusse pe pyar aata hai
Aaj toh bas main aur tum, tum aur main ... darmiyan kuch na rahe, agar rahe toh pyar rahe
Jin labon ko yeh muskurahat mili hai, un labon ka ... jis haseen chehre ko yeh lab mile hai, us chehre ka ... jis chehre ko yeh badan mila hai, us badan ka ... jis badan ko yeh rooh mili hai, us rooh ka ... dono aalam mein koi jawab nahi hai
Is umar mein toh mann mein masti hoti hai, dil mein ek tarang hoti hai aur seene mein armaan hote hai ... tujhe kuch nahi hota?
Yeh prem rog hai ... shuru mein dukh deta hai ... bad mein bahut dukh deta hai
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Pyar ko janne ya samajhne ki zaroorat nahi hoti hai ... sirf mehsoos karna hi kaafi hota hai
Aaine ke paas toh kuch bhi nahi ... meri aankhon mein teri tasveer hai
Ab aap samne hai toh kuch bhi nahi hai yaad ... varna kuch aapse hum mein kehna zaroor tha
Kitne toofan uthaye aankhon ne, naav yaadon ki doobti hi nahi ... tujhse milne ki, tujhko paane ki koi tatbir soojti hi nahi
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye ... bus ek baar mera kaha maan lijiye ... is anjuman mein aapko aana hai baar baar ... deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Tu mujhe chahe na chahe yeh tere bas mein toh hai ... aur main tujhko na chahun yeh mere bas mein nahi
Kis kis tarah se mujhko na rusva kiya gaya ... gairon ka naam mere lahu se likha gaya ... kyun aaj uska zikr mujhe khush na kar saka ... kyun aaj uska naam mera dil dukha gaya
Waqt jin mein tumhare labon ka rang nahi ... woh waqt guzra nahi ... tehar gaya hai kahin
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ... ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... pyar ki shabnam mein unsune geeton ko ... sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare ... khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko ... bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko ... moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ... adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare
Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya ... tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki ... tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi
Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka ... aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum ... dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein ... kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ... haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ... door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta ... yeh mohabbat hai dilon ka rishta ... aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta ... tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi ... meri duniya ke har rang mein shamil tu hai ... tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ... tum hoti toh kaisa hota ... tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti ... tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota ... main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
