Dialogues from Movies for Parties
Kutta jab pagal ho jaata hai toh usse goli maar dete hai
Sher Khan aaj ka kaam kal par nahi chodta
Aaj zindagi mein pehli baar ... Sher Khan ki sher se takkar hui hai
Baarah junglee kutte milkar sher ko maar daalte hai
Is ilaaqe mein naye aaye ho sahab? ... varna Sher Khan ko kaun nahi jaanta
Sher Khan ne shaadi nahi ki toh kya hua ... lekin baaraatein bahut dekhi hai
Jab tak baithne ko na kaha jaaye sharafat se khade raho ... yeh police station hai ... tumhare baap ka ghar nahi
Joh apni jaan par khelte hai ... woh apni manzil par khud pahunch jaate hai
Main tere napaak khoon se haath nahi rangoonga
Main apne plan khud banata hoon
In kandhon par wahi sar hai jisne katna seekha hai ... jhukna nahi
Pilana bhi farz tha toh kuch bhi pila diya hota ... sharaab kam thi toh pani mila diya hota
Jab dil bahut kuch kehne ko chahe aur zubaan saath na de ... toh yeh mohabbat ki pehli seedi hoti hai
Shakaal jab baazi khelta hai ... toh jitne patte uske haath mein hote hai ... utne hi uski aasteen mein
Joh main paaon apne piya ko, aakhiyan mein rakh loon ... na main dekhoon koi ore, na toku dekhan doon
Joh bhi aaya hai tere paas baitha chahe ... hum kahan tak tere pehlu se sarakte jaaye
Mitt gaye jiske liye naam tak uska na liya ... kaash is baat ki usko bhi khabar ho jaati
Aurat ki aabru jab luttati toh uske kaleje mein aag lagti hai ... aur woh aag us waqt tak nahi bhujti ... jab tak woh apna inteqam na lele
Pyar ki maar bahut buri maar hoti hai ... aadmi jeete jee mar jaata hai
Aurat ko apni jaan se zyada apni aabru azeez hoti hai ... aur apni pavitrata ki raksha ke liye aurat jaan de sakti hai aur jaan le sakti hai
Sari duniya bhi joh thukraye toh kya hota hai ... jiska koi nahi hota uska khuda hota hai
Hum mein khilane waale haath abhi pehda nahi hue
Jahan yaar nahi wahan pyar nahi ... jahan pyar nahi wahan yaar nahi
Jigar ki chot hai aye dost, dauraahi nahi jaati ... lapat hai aag ki, hoton pe phir laayi nahi jaati
Aaj ke samaaj mein imaandar hokar koi bhi crorepati nahi ho sakta
Jis din ek mazdoor kaam pe nahi jaata ... uske ghar par chula nahi balki uska pet jalta hai
Akal se sirf nakshe ban sakte hai ... imaaratein nahi
Footpath har sadak hi hai aashiyan hamara ... rehne ko ghar nahi hai, sara jahan hamara
Baarish ki boondon se darne waale toofan ka muqabla nahi kar sakte
Jeene ki aarzoo mein marre ja rahe hai log ... marne ki aarzoo mein jeeye ja raha hoon main
De jaam ya gham de humko ... sharaab bhi pee jaati hai aur aasoon bhi peeye jaate hai
Nadiya se dariya, dariya se sagar, sagar se gehra hai jaam ... jaam mein doob gayi hai yaaron, mere jeevan ki har shyam
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
