dialogues for Tag: Romance
Tag: Romance
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Agar nazarein khoobsurat ho ... toh har cheez khoobsurat lagti hai
Aaj unke kadam is taraf kya aaye ... lagta hai fiza mein bahaar aa gayi
Zindagi mein log mohabbat ke sahare jeete hai ... main aapki nafrat ke sahare jeeonga
Duniya ki koi maut pyar ki zindagi se zyada khubsoorat nahi
Prem toh ek badal ki tarah hai joh achanak aa jaata hai, achanak baras jaata hai ... aur chand nikal aata hai
Pyar ki mithaas hamesha theek hoti hai ... na kam, na zyada
Jin rahon mein tum mere saath nahi chalogi ... vishvas karo un rahon mein bhatak-bhatakar main apni jaan de doonga
Yeh haath bada ziddi hai ... gardan pakad le toh dum nikaal ke chhodta hai ... aur haath pakad le toh apna ke chhodta
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Mohabbat mein chirag-e-gul zamane ki hawa thandi ... chahe jitni bhi aag jale ishq ki, hawa thandi ki thandi
Pyar ka mazaa saath marne mein nahi ... saath jeene mein hai
Woh pyar hi kya joh samay ke parivartan ke saath badal jaye
Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye ... hum tumhare aur tum hamare ho gaye
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Aapne kabhi apni aankhen dekhi hai? ... jahan dekhti hai ek rishta kayam kar leti hai
Tera haath, haath mein ho agar ... toh safar hi asle-hayaat hai ... mere har kadam pe hai manzilein ... tera pyar gar mere saath hai
Mere dil ka woh hissa ... kambakht mera kab tha
Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua ... tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai
Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ... hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne ... hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
Mohabbat mein sawaal nahi kiye jaate
Dil hai kahan ... woh toh tune le liya hai zalim
Pyar ek panchi hai joh aasman ki bulandiyon tak udhna chahta hai ... magar insaan ke farz aur majbooriyan usse dharti se door nahi jaane deti
Khushi toh naam hai tumse nazar milane ka ... nazar milana ek bahana hai dil lagane ka
Koi dil ke kitne paas hai yeh tab hi malum hota hai ... jab woh nazaron se door ho
Patte theek pad gaye toh jeet nahi toh haar ... jaise dil mil gaye toh pyar nahi toh takraar
Pyar ki shuruvat hai rota hai kya ... aage aage dekhiye hota hai kya
Bhool jao sab taaron ko, phoolon ko, bahaaron ko, aur yaad karo pehla chumban joh aag bhi tha aur sheetal bhi ... ab toh bas tum ho, roop tera, yowan tera, masti teri ... ab toh bas meri saansein hai teri palkon ko sek rahi ... bas do shareer ho jaye ek, dil itni baat manata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Tere nainon ki khidki se yeh mujhko kaun bulata hai ... chandni ishara karti hai aur chand sitaar bajata hai ... pagalpan mein kuch kar baithun toh doshi mujhko mat kehna ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai ... isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai ... arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai ... woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Teri aankhon mein doobun, ya teri palkon se khel karun ... ya kho jaun teri zulfon ke jungle mein, ya apna dil rakh doon tere komal pairon ke neeche ... ab shuru kahan se ho jaun, yeh nahi samjh mein aata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
