dialogues for Tag:
Tag:
Gunaah karne ke baad ... aadmi chota aur gunaah ka saaya lamba hota jaata hai
Bade logon ke haath nahi alfaaz istamal hote hai ... jinke ishaare par chote log choriyan karte hai
Tumhari zindagi chaku ke dhaar se khelti hai ... aur tumhare pankh gundagardi ke dal-dal mein dhasse hai ... jitna nikalne ki koshish karoge, utna hi dhasste jaoge
Ek maut tere gunaahon ke sazaa ke liye kaafi nahi
Aapka kanoon kisi insaan ko ek hi jurm ke liye do baar sazaa nahi de sakta
Crime ki duniya mein ek baar entry lene ke baad ... dobara ruksat hona namumkin hai
Agar main chor hoon toh mujhse chori karane waale tum ho ... aur agar main mujrim hoon toh mujhse jurm karane waale bhi tum ho
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
Jis tarah har jurm ka ek daag hota hai ... us hi tarah begunahi ka ek saboot bhi hota hai
Tumhare raj mein toh zulm ke khilaaf awaaz uthana bhi jurm hai
Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main ... kitna haseen gunah kiye ja raha hoon main
Jis jurm par mera naam likha jayega uspar tumhara naam pehle se likha hoga ... aur jis gali mein main kutte ki maut maara jaonga ... us gali mein ek bahut bada kutta pehle se mara pada hoga
Har daulat ke peeche ek jurm hota hai
Choron ke yahan chori ... chori nahi kehlati ... hera pheri kehlati hai
Chori chahe ek paise ki ho yah lakh rupaiye ki ... chori, chori hai
Agar is samaaj aur society se paap aur gunaah ko hamesha ke liye khatam karna hai ... toh un shaitano ko khatam karna hoga joh chand sikkon ki khatir gareebon ki sharafat aur insaaniyat khareedkar unke dilon mein gunaah ka bheej bohte hai ... paap ke saaye mein unki parvarish karte hai ... logon ka khoon pilakar unhe badne par majboor karte hai
Joh aadmi chori karke bhaagte huye pakda jaaye ... woh zindagi bhar bhaagta rehta hai
Ek khoon ki saza phansi ... aur do khoon ki saza bhi sirf phansi
Gareebi se sharmana, usse nafrat karna ... sabse bada apradh hai
Sach ko chupana ek bahut bada jurm hai ... duniya ka koi logic, insaan ka koi jazba is jurm ko justify nahi karta
Tu aaisa khatarnak keeda hai joh aurat ki kismat khata hai ... tumhe maarna toh gunah nahi sawab hoga
Insaan jab gunaah karta hai toh sazaa sirf ussi ko milti hai ... lekin jab woh shaadi karta hai, toh uska asar sare ghar par hota hai ... chahe woh acha ho, chahe bura
Zindagi bhagwan ki di hui daulat hai ... usse apne hi haathon gavana insaan ki kamzori ke saath saath jurm hai
Mohabbat joh darti ho woh mohabbat nahin ... ayyashi hai, gunaah hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
