dialogues for Tag: Life
Tag: Life
Wrestling koi khel nahi hai ... yeh woh dangal hai joh insaan apni zindagi mein apne aap se ladta hai
Asli wrestler woh nahi hota joh medal uthaye ... asli wrestler woh hota hai joh zindagi se lade aur usse haraye
Asli pehalwan ki pehchaan akhade mein nahi, zindagi mein hove hai ... taki jab zindagi tumhe patke toh tum phir khade ho ... aur aaisa daanv maro ki zindagi chitt ho jaye
Na kar bandeya meri teri ... char dinan da phair hai duniya ... phir tu bhi mitti, main bhi mitti
Zindagi mein aage badne ke liye kuch na kuch toh peeche chhodna hi padta hai
Kabhi kabhi ek pal mein zindagi bhar ka pyar mil jaata hai ... aur kabhi kabhi zindagi bhar dhoondo, ek pal ka pyar bhi nahi milta
Hum kitne din jiye yeh zaroori nahi ... hum un dino mein kitna jeeye yeh zaroori hai
Kabhi kabhi zindagi mein aise modh aate hai ... ke insaan khud bhi nahi jaanta, woh kidhar ja raha hai
Pyar koi chidiya nahi ... ek hi zindagi mili hai se humein ... aur ee zindagi mein hi milegi
Zindagi ka problem yehi hai ... galatiyan pal mein ho jaati hai ... lekin saza badi lambi chalti hai
Life mein sab ball ek samaan thodi na milega ... merit pe khelna hai aur tike rehna hai ... the score board will keep moving
Life is not worth living until you find someone or something to die for
Tumhari zindagi mein ek din aisa zaroor aayega, jab tum neend se jagogi aur apni life ko phir se rewind karke jeena chahogi ... par tab waqt nahi hoga ... humein jeena hai toh aaj jeeye, ab jeeye, ek doosre ke saath jeeye ... taaki life phir kabhi rewind karne ki zaroorat na pade
Teri aane waali zindagi ek sahi shot aur ek galat faisle ke beech mein tiki hui hai
Joh cheez jaan le sakti hai woh jaan bacha bhi sakti hai
Joh kuch bhi usne kiya ... maine apni life mein cut, copy, paste kiya ... bas farak itna hai udhar woh star bana aur main uska fan
We are all our own teachers in the school of life
Zindagi ek jigsaw puzzle ki tarah hai ... mere jaise log us puzzle ke khoye hue tukde, sirf dhoondne aur jodne mein madad kar sakte hai ... par only you can complete the puzzle
Agar hum apni zindagi ka steering wheel apne haath mein nahi lenge na ... toh koi doosra driver seat par baith jayega
Zindagi mein jab koi pattern banta ya koi aadat banti dikhai de na ... toh uske baare mein achchi tarah se sochna chahiye ... genius is about knowing when to stop
Agar zindagi mein kuch karna hai na toh kar lena ... sahi samay ka intezar mat karna ... kyun ki kahi baar woh sahi samay aata hi nahi hai
Zindagi mein jab ek darwaza band hota hai ... aur aapko lagta hai thak gaye, haar chuke ho ... toh sirf aur sirf aapki himmat aur shakti aapke liye kayi aur darwaze khol deti hai ... and that's what makes you discover the real you, the fighter in you
Zindagi do choice deta hai ... ya toh zindagi ko gaali dete rehne ka ... ya phir joh zindagi mile usse gale lagane ka
Jab do log ka life ek hota hai na ... toh unka sapna bhi ek hi mangta hai
Zindagi do choice deta hai ... joh milta hai woh haath phailakar le lo ... ya phir joh maangta hai woh haath uthakar cheen lo
Kachhuae na kahaniyon mein jeette hai ... asli zindagi mein nahi
Ab farak nahi padta ... kyun ki jab farak nahi padta zindagi mein ... farak tabhi aata hai
Main life mein har kaam ek baar zaroor karta hoon ... aur joh kaam pasand aaya na ... usse do baar karta hoon
Jhand kar diya hai meri zindagi ki!
Twenty20 mein runs aur zindagi mein paisa ... aana zaroori hai ... kaise aa raha hai no one bothers
Zindagi ka asli shor uski khamoshiyon mein hi phassa hua milta hai kahin
Log kehte hai ki kal main apni zindagi badal doonga, lekin kar nahi paate ... mera kal aa gaya hai, lekin hum chahe jitna badal jaye ... hum mein apne beete huye kal ki keemat deni padti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
