Page 79 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Drama

Tag: Drama
79 (of 109 pages) | 32 (of 3466 items)
1 78 79 80 109
Pair choone se bade chote nahi ho jaate hai ... magar chote joh hai woh khote zaroor ho jaate hai
Mere paas woh kuch bhi nahi joh aapke paas hai ... lekin itna paisa hai ki ek mangalsutra khareed sakta hoon ... itni taqat hai ki kamakar khila sakta hoon ... aur itni mardangi hai ki bachche pehda karke aapko nani bana sakta hoon
Dil daulat se zyada taqatwar hota hai
Joh mard apne pyar ke bandhan ki hifazat nahi kar sakta, woh mard nahi ... joh aurat apne pyar ke bandhan ko todna chahti hai, woh aurat nahi
Meri shaan meri laash ke saath hi giregi ... usse pehle nahi
Naya nau din ... purana sau din
Tumne abhi tak mere sholay nahi dekhe, sharafat dekhi hai ... jis din sharafat chhod di maine, us din koi bhi tumhara rakhwala banne se inkaar kar dega
Jab gareeb ka khoon khaulta hai ... toh uske gusse ke sailaab mein daulat ke bade se bade pahad toot jaate hai
Havas ek aaisi aag hai joh bujhane se aur badhakti hai ... aur anjaam yeh hota hai ki aag bujhti nahi hai ... magar bujhane waala jalkar raakh ho jaata hai
Tumhari oonchi shakhsiyat ... aur sharifana libaas ke peeche chupe shaitan ko main pehchaan chuka hoon
by: Sunny Deol
from: Ghayal (1990)
code:
Is chot ko apne dil aur dimaag par kayam rakhna ... kal yahi aasoon kranti ka sailaab bankar is mulk ki sari gandagi ko baha le jayenge
by: Sunny Deol
from: Ghayal (1990)
code:
Andhe behron ka shehar hai yeh ... patthar hai yeh sab ke sab ... yahan toh bas sarr phoda ja sakta hai
by: Sunny Deol
from: Ghayal (1990)
code:
Rishwatkhori aur makaari ne tum logon ke jism mein maa ke doodh ke asar ko khatam kar diya hai
by: Sunny Deol
from: Ghayal (1990)
code:
Bhagwan ka banaya hua sansar ek aisa bazaar hai ... jahan insaan ka kiya hua hisaab usse yahin chutta karke jaana padta hai
Zindagi mein kabhi izzat mat khona
Jis ghar mein naari jaati ko maan diya jaata hai, izzat di jaati hai ... us ghar mein devta baste hai ... aur jis ghar mein naari jaati ka apmaan hota hai ... us ghar mein rakshash rehte hai
Cancer ka ilaaj hai iss duniya mein ... lalach ka nahi hai
Zulm ko insaaf ki chakki mein pisne ka waqt aa gaya hai
Sharifon ki izzat paison se zyada keemti hoti hai
Bahut khush hona bhi achchi baat nahi hai ... aasoon nikal aate hai
Mujrim kitni bhi hoshyari kare ... saboot ko zameen ki kok mein dafan kyun na karde ... lekin ek na ek din uska gunaah uske samne aaine ki tarah khada ho jaata hai
Joh thappad dikhayi nahi deta ... woh zyada gehri chot karta hai
by: Anupam Kher
from: Dil (1990)
code:
Bachpan mein mujhe sikhaya gaya tha ... kisi airi gairi cheez ki mooh nahi laga karte
by: Aamir Khan
from: Dil (1990)
code:
Main kisi ke saath mazaak kar sakta hoon ... lekin uski izzat ke saath nahi khel sakta
by: Aamir Khan
from: Dil (1990)
code:
Aaj mujhe pata laga hai ki main ek aise tangdil insaan ka beta hoon ... jiske paas apne bete ko dene ke liye aashirwad bhi nahi
by: Aamir Khan
from: Dil (1990)
code:
Jise main jigar ka tukda samjhta tha, usne mere jigar ke tukde tukde kar diye ... jise main aankh ka tara samajhta tha, usne badnaami ka kajal banke mera mooh kala kar diya
by: Saeed Jaffrey
from: Dil (1990)
code:
Khamoshi mein joh baat kahi jaati hai ... usse samajhne ke liye ek dard bhara dil chahiye
Hum mein toh lagta hai bhagwan ne khali pehda kar diya hai ... taqdeer likhna hi bhool gaya hai
Agar yeh hi hai aapki duniya toh nahi chahiye mujhe aapki duniya ... nahi chahiye mujhe woh duniya jis mein ek ladki ke saare haq cheene jaye ... beti hone ka, behen hone ka, biwi hone ka ... ek zinda insaan ko ek bejaan cheez ki tarah bazar mein rakha jaye ... uska mol lagaya jaye, usse khareeda jaye, usse becha jaye ... aur phir kaha jaye ki yahi duniya ka dastoor hai ... nahi chahiye mujhe aapki duniya
Agar pyar karna bagawat hai, kisi ko sahara dena bagawat hai ... toh main aapke khilaf, aapke kanoon ke khilaf, aapke samaaj ke khilaf bagawat karta hoon ... main bhaagi hoon ... haan main bhaagi hoon
Zameer aur discipline ke binah par kiya gaya faisla kabhi galat nahi hota
Andhere ko agar mitaana ho ... toh diye ko apne sarr mein aag lagani padti hai
1 78 79 80 109

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.