dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Kagazaat par dastakhat main hamesha apne kalam se karta hoon
Aap badhe nahin hue hain ... amir hue hain, sirf amir ... aapki tijori toh badhi ho gayi hai lekin aapka dil bahut hi chota ho gaya hai
Bada aadmi agar banna ho ... toh choti harkatein mat karna
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Mujhe toh sirf apne aap se hi darr lagta hai
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Joh log sachchai ki tarafdari ki kasam khate hain ... zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai
Duniya ko agar seedha rakhna ho ... toh ulta haath istamaal karna chahiye
Reet rivaaz insaan ki sahuliyat ke liye banaye jaate hai ... insaan reet rivaazo ke liye nahi
Humne saanp ko doodh pilaya ... par hum doodh pila sakte hai, toh uska sar bhi kuchal sakte hai
Aaisi choti aur ghatiya baat karke aap hamare samne chote aur ghatiya nazar aane lage hai
Joh talwar se nahi marte ... woh pyar se marr jaate hai
Ab tak tune meri namak halaali dekhi hai ... ab meri namak haraami dekhna
Is duniya mein insaan do baar janam leta hai ... ek baar maa ki kok se pehda hokar ghar aata hai ... aur doosri baar ghar se nikalkar duniya mein jaata hai
Palne waala pehda karne waala se kahin uncha hota hai ... maa toh sirf janam deti hai na ... lekin zindagi deti hai palne waali
Naari ka doosra naam seva hi toh hai
Is duniya mein rehna hai ... toh judaai ki aadat dalni hi padti hai
Paapi ko mat maaro ... paapi ke dil ke andhar joh shaitaan behta hua hai, usse maaro
Duniya mein sirf ek hi sambandh hai ... pati patni ka sambandh, joh jeete jee toot nahi sakta ... baki saare rishtey toh aasmaan mein badalon ki tarah hote hai ... joh hawa ek jhaunke se toot jaate hai
Who din toh meri atma par ek taaza zakhm ki tarah zinda hai
Maarne waale ka haath pakad sakte hai ... bolne waale ki zubaan nahin
Zakhm toh bhar jaate hai ... lekin nishaan reh jaate hai
Kabhi kabhi sambhalkar chalne mein bhi thokar lag hi jaati hai
Zameen aur asmaan ki mulaqat ko log nazar ka dokha kehte hai
Dard toh tab hota hai jab koi zakhm ke baare mein yaad kare ... bhool jao toh dard ka ehsaas bhi nahi hota
Khoon bahane se nafrat badti hai ... faisla nahi hota
Sharafat ki chaddar oodne ke liye shareer nahin ... ek sharif atma chahiye
Jis tarah har jurm ka ek daag hota hai ... us hi tarah begunahi ka ek saboot bhi hota hai
Joh log paisa kamakar apna imaan gavah dete hai ... woh daulat hote hue bhi fakiron se battar hai
Baap ki arthi bete ke kandhe pe jaya karti hai ... bete ki arthi baap ke kandhe pe nahin
Tumhare raj mein toh zulm ke khilaaf awaaz uthana bhi jurm hai
Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
