Page 153 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

153 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 152 153 154 459
Yeh the mantally sick ho chuka hai
Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti ... tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti ... jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh, awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh ... lekin joh yeh ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai ... khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo joh be-aawaaz hai ... jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai ... duniya se bhi chupta nahi, yeh jaane kaisa raaz hai
Kabhi pay check milte waqt ... tumhare aankhon mein aasun aye hai?
Sieze the day my friend ... pehle is din ko poori tarah jiyo, phir chalis ke bare mein soochna
Insaan ko dibbe mein sirf tab hona chahiye ... jab woh mar chuka ho
Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan ... sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan ... sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main ... apne hone pe mujhko yakeen aa gaya
Kya tum mantally challenged ho my bwoy?
Insaan ka kartavya hota hai koshish karna ... kaamyabi nakaamyabi sab uske haath mein hai
Dost mujhe Majnu bulate hai
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum ... hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho ... har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen ... joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
Yahan bhaagne pe gold medal nahi ... iron medal milega
Shaadi Sridevi se ki thi ... nikli Phoolan Devi
Aurat na, saali jab chudail nikalti hai na ... aadmi ka gobar kar deti hai
Ishq aur bullet mein khaas farak nahi hota bhai ... dono hi nikalte hain chaati faadne ke liye
She is like rajma chawal ... maa ka banaya hua
Ishq ka ek problem hai ... agar ek ki lagi toh doosre ki bhi lagni hai kabhi na kabhi
Log sunenge to kya kahenge ... chutiya aashiqui ke chakkar mein mar gaya, aur laundiya bhi nahi mili
Abhe chalayega ya ukharega
Sache dil se baat karne se ... zindagi bhar ki galatiyan maaf ho jaati hai
Discount middle class logon ke liye hota hai
Jatt risky after balti whiskey
Is duniya mein aaye ho toh kuch aisa kar jao kadardan ... gali, kooche se aawaaz aaye, abba jaan abba jaan abba jaan
Liver kidney thoda bahut kharab ho sakta hai ... lekin yeh dil kamaal ka hai
Rab di sau ... agar mujhe gussa aagaya na ... toh main aaisi dhulai karoonga, aaisi dhulai karoonga ... ki na koi dawa kaam aayegi aur na hi dua
Oye illaka kutton ka hota hai, bhen ke takke ... sher ka nahi
Yeh Punjab hai Punjab ... yahan pehle goli marte hai ... phir shayad laash se kuch baat karlein
Arre jab Dharmendra aur Sunny Deol lad rahe hai ... toh Bobby Deol kya karega
Dil achcha ho ya na ho ... lekin shakal, surat aur kapde achche hone chahiye
Woh item number ka guitar thi, main sufi gaane ka ek tara ... boss woh star thi aur mera toh tara hi doob gaya tha
Heroine ki zindagi is like an elected government ... paanch saal tak party ... uske baad support
Dil bhale hi left mein hota hai ... lekin uske faisley hamesha right hote hai
1 152 153 154 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..