dialogues for Tag: Life
Tag: Life
Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai ... desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai
Zindagi mein pyar hi woh ek cheez hai jiske liye aapko koi bhi keemat chukani padhe ... woh kam hai
Zindagi bahut hi khoobsurat hai ... yahan par dhoop bhi hai aur chaon bhi, yahan asha bhi hai aur nirasha bhi, yahan par phool bhi hai aur kaante bhi, yahan par khawab bhi hai aur haqeeqat bhi, yahan dil bhi hai aur dard bhi
Apni jaan ki salamati chahta hai toh bhaag nikal yahan se ... varna tere tukde tukde karke cheel kauwon ko khila doonga
Carrom ramwanu, juice pivanu ... mazza ni life
Jab tum smile karta hai na ... toh aisa lagta hai ki kya mast life hai
Life mein jab time kam rehta hai na ... double jeene ka, double
Zindagi mein kuch khwahishen poori ho jaati hai aur kuch dil hi mein reh jaati hai ... yahi zindagi hai, yahi zindagi hai
Shaadi koi chand dino ki mauj masti nahi hai ... poori zindagi ka khel hai
Zindagi mein galati aur gunaah, har ek se hota hai ... magar gunaah karne ke baad usse chupana, usse bhi bada gunaah hai
Life style se nahi chalti ... uske liye kuch kaam kaaj karna zaroori hota hai
Zindagi aaise jiyo joh khud ko achchi lage
Apni zindagi uske saath mat jodo jisse tum pyar karti ho ... uske saath jodo joh tumhe pyar karta hai
Soocho, soocho ... aur soochne ke liye main tumhe apni saari zindagi deta hoon
Aaj ... aaj ek hasi aur baant lo ... aaj ek dua aur maang lo ... aaj ek ansoon aur pee lo ... aaj ek zindagi aur jee lo ... aaj ek sapna aur dekh lo ... aaj ... kya pata, kal ho naa ho
Izzat banane ke liye poori zindagi lag jaati hai ... lekin usse barbaad karne ke liye sirf ek bhool ki zaroorat hoti hai
Zindagi mein sirf do hi cheezein hai ... ek khana aur doosra gaana
Karate ho ke life ... dard se hi mard banta hai
Hamare saath zindagi ka ek din jeena ... hazaaron saalon ki taqleefon ke barabar hota hai
Life mein paise kamane ke alava kuch daan punya ka bhi kaam kiya karo ... aatma ke liye acha hota hai
Kabhi kabhi hadsa itna bada hota hai ... ki uske samne zindagi bahut choti ho jaati hai
Maa baap zindagi ke pedh ki jadh hai
Pyar hi toh woh jaado hai ... joh umar bhar jawan banaye rakhta hai
Ek baap agar apne bete ki zindagi ka pehla kadam uthane mein uski madad kar sakta hai ... toh wahi beta apne baap ke aakhri kadam uthane mein usse sahara kyun nahi de sakta?
Zindagi peeche dekhne ka naam nahi hai ... aage chalne ka naam hai
Zindagi mein kabhi kabhi pagalpan bahut zaroori hota hai
Yeh meri himmat kahan ki main aapse shikva karoon ... aap hona chahte hai bewafaa, ho jahiye ... aapke kadamon par laakar rakh di hai dil aur jaan ... meri mohabbat ki duniya ke khuda ho jahiye
The idea of making love to you is something so beautiful ... ki main zindagi bhar tak tumhara intezar kar sakta hoon
Apna toh life ka funda hi ek hai ... east or west, sex is the best
Agar kisi ne maut ko kareeb se dekha ho ... toh usse pichle janam ki baatein yaad aati hai
Jab zindagi mein maqsad mil jaata hai ... toh jeene ki wajah bhi mil jaati hai
In do minute ke liye toh main do janamon tak bhi intezaar kar sakta hoon
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
