dialogues for Tag: Action
Tag: Action
Supari ka sauda noton se nahin ... laashon se hoga
Hum janwaron ka nahin ... insaanon ka shikaar karte hai
Tujhe banakar maut ke mooh ka nivala ... tere seene mein gaad doonga main maut ka bhala
Marne ke baad bhi unki botiyan ... dard se tadapti rahengi
Ladenge toh khoon bahega ... nahi ladenge toh yeh log khoon choos lenge
Yeh bandook, tu nishana ... yeh goli, tera seena
Mere haath mein maut ki rekha hi nahi hai
Agar maine chey goliyan chalai hai toh teri kismat ... aur agar maine paanch goliyan chalai hai toh meri kismat
Itna maroonga tujhe itna maroonga ki meri behen toh kya ... tu apni hone waali biwi ko bhi behen kahega
Janwar jab adamkhor ban jaye ... toh uski chamdi udherkar deewar par chipka di jaati hai
Humse ladne ki himmat toh jutta loge ... par kaminapan kahan se laoge?
Mere mann ko bhaya ... main kutta kaat ke khaya
Jinka maal pakda jaata hai ... unki maut unki zindagi ko pakad leti hai
Agar dobara tune aaisi galati ki ... toh tera woh hashar karoonga ... ki tujhe apne haathon se apni zindagi phisalti hui nazar aayegi
Agar daud tujhe teri maut se door le ja sakti hai toh ... daud ... daud!
Paanch baje ke baad Deva ki adaalat shuru hoti hai
Yeh mera pasina nahi mera khoon hai joh pani bankar behta hai mere badan se
Khoon ek baar karo ya sau baar ... phansi sirf ek baar hoti hai
Elaan karta hai parmeshwar ... aaj marega Rajeshwar
Maarne waale sochte nahi aur sochne waale maarte nahi
Mauka deta hai parmeshwar ... maut deta hai Rajeshwar
Main Bharat sarkar ka sipahi hoon ... jisse yeh haq diya gaya hai ki joh kanoon ki lakeer par paon rakhe ... uske paon kaatkar phek doon
Aag ko jab tak na chedo, tab nak nahi bhadhakti ... chedo toh aaisa bhadhakti hai, ke jalakar raakh kar deti hai
Aap kanoon haath mein le nahi sakte ... aur apun ka haath duniya ka koi kanoon rok nahi sakta
Yeh khel teri zindagi ka aakhri khel hoga ... aakhri khel
Main teri maut bankar aaya hoon ... aur teri maut atal hai
Haath toh laga ... iske baad dhoondhta reh jayega ki tere jism ke saath koi haath bhi tha
Sipahi jab maidan-e-jung mein utarta hai ... toh apna hathyaar lana nahin bhulta
Agar kisi ne iski taraf aankh uthakar bhi dekha ... toh uske saare khandaan ki aankhen nikaal doonga
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Na main teri tarah kisi ko supari doonga, na hi saboot mittaonga ... balki jis din main tum logon ke naam ke matke phodonga na ... us din is shehar ka bachcha bachcha bolega ... tapka re tapka ... ek aur tapka
Aaisi ulti palti karke maarega ... ki tu khoon ki ulti karke marega
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
