dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Joh zyada aage chalta hai usse yeh pata nahi chalta ... ki kab uske peeche poori game palat gayi ho
Ek police waale ka dimaag bhaagte bhaagte thakar jab behat jaata hai ... ek shatir chor ka dimaag wahan se daudna shuru karta hai
Main sab dharmon ka aadhar karta hoon ... aur kisi bhi dharm mein maanta nahin
Maine sirf insaan banaya ... aur insaan ne yeh jaat, paat, dharm, mazhab ka dhanda shuru kiya
Jaise ek bakht bhagwan ke bina adhoora hota hai ... waise hi bhagwan bhi ek sachche bakht ke bina adhoora hota hai
Saari baatein har ek ko nahi batayi jaati
Yah toh top pe raho ... nahi toh chup raho
Rishteydari taqat waalo ke saath nahin ... sharafat waalo ke saath ki jati hai
Kisi ki bhi insaan ko ek hi gunah ki sazaa do baar nahi milni chahiye
Yeh duniya pyar ki sirf baatein karti hai ... chalti jung pe hai
Jis din sab barabar ho gaye ... society ke saare problem khatam
Insaan ki zindagi mein kuch haadse aaise hote hai ... jis mein woh bach toh jaata hai ... lekin zinda nahi rehta
Ya toh inhe mujhe maarna hoga ... ya phir haarkar tujhe mere paas bhejna hoga
Har din uski zindagi ki dua maang leti hoon ... aur har din khud thodi marr leti hoon
Joh khud khush na ho ... woh auron ko khushi kabhi nahi de sakta
Bomb se zyada zakhm toh zindagi deti hai ... har mod par koi dhokha, koi dard ... toh jab zindagi ke khatron se bachne ke liye koi bomb suit nahi pehanta ... toh maut se bachne ke liye kya pehanna
Har din ek dua maangti hoon ... ke shayad ek din tum mujhe maaf kardo
Zindagi toh har roz jaan leti hai ... bomb toh sirf ek baar lega
Yadhaash bhi kitni ajeeb cheez hoti hai ... kis cheez ko poori zindagi bhoolne ki koshish karo, woh bhoolti nahi ... kabhi ek choti si cheez yaad karne ki koshish karo, toh yaad nahi aati
Hamari line mein kismat sirf ek baar dokha deti hai
Main har din maut ko gale lagaonga
Unka hisaab unse, tera tujhse
Yeh film industry hai ... yahan yah toh manipulate kar lo ... yah ho jao
Shohrat jitna deti hai ... usse kahin zyada humse cheen leti hai
Shehar badalne se mera shareer toh nahin badlega
Main woh har kaam karti hoon joh mana hai
Jab aurat apni izzat bechne par aa jati hai ... toh phir woh kisi bhi aadmi ko khareed sakti hai
Jab kisi se badla lene ki thaan lo ... toh ek nahi do kabr khod leni chahiye
Mare hue log kabr se nahin dara karte
Kisi ki zindagi tabah karni ho ... toh unhe zinda rakhna zaroori hai
Bade log apna naam bhool jaate the ... lekin apni zameen apna samaan nahi
Kabhi chahane se hum zindagi dete hai aur kabhi bhool se ... lekin maut hamesha hamari khud ki chuk se hoti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
