Dialogues from Movies for Parties
Anna tum logo ko ganne ki tarah chil chil ke chota kar daalega ... samjha na?
Baahar aag hai aur andar jwalamukhi hai ... jaaye toh kidhar jaaye?
Chalo chalo chalo, jaldi se crore ko pati se alag kardo
Usse giraftar mat karna, uspar muqadma mat chalana, usse phansi ki sazaa mat dena ... kuch bhi ho jaye usse zinda mat chhodna
Janta hai tu ki danger naam hai mera ... aur main janta hoon ki kya kaam hai tera
Pyar maanga tha, judaai nahi ... wafaa maangi tha, bewafai nahi
Is jahaan mein aaye ho toh kuch aaisa karo kadardaan ... ke jis gali se guzro toh awaaz aaye, abbajaan abbajaan
Bewafaa aadmi khuda se gabra jaata hai ... aur sacha pyar hai na khuda se takra jaata hai
Aadmi agar thode time ke liye pareshaan hai na ... toh matlab time kharab hai ... aur aadmi agar hamesha pareshaan hai na ... toh samajh lena ki aadmi kharaab hai
Yeh dhanda hai na bewafaa aurat ki tarah hai ... bewafai par utar aaye toh kangaal kar deta hai ... aur wafaadari par utar aaye toh malamaal
Bewajah log kahan marte hai ... yaar hi bewafai karte hai
Is chor bazaar mein aake apne ho gaye vare nyare ... apun akhiyon se goli maare
Mereko damaad thoda hatke chahiye ... aaisa jisko dekh ke public sadak pe se hat jave ... police station se police hat jave ... aur mahulle mein se bade se bada gunda phut jave
Yeh kaisa locha kiya tune mere pyar ka ... maal toh bika nahi bill chad gaya udhaar ka
Badi shaktiyon ka prayog har din ki mushkilon ko suljhane ke liye nahi karna chahiye ... woh toh antargyan dene ke liye hoti hai
Jungle mein jeevan narak hota hai
Boond boond se sagar banta hai ... aur kiran kiran se suraj
Apni beti ko toh main sirf is desh se door bhej raha hoon ... magar aaj ke baad Sapna ka naam bhi teri zubaan pe aaya ... toh main tujhe zindagi se door bhej doonga
Pathan kabhi burkhe ke peeche chip kar vaar nahi karta
Hamare dhande mein kisi ek ki kamzori ... doosre ki taqat ban jaati hai
Pyar mein jeet ussi ki hoti hai ... joh raaste mein aane waali har deewar ko gira de
Aap haath uthayen ya haath phailayen ... main apna pyar aapki jholi mein nahi daal sakta
Kehte hai ki jab bachche ke zid baap poori na kar sake ... toh woh apni maa ke paas chala jaata hai
Hamare dhande mein hum doston se zyada dushmano ki khabar rakhte hai
Main tumhara haath kabhi nahi chhodunga ... aaj nahi, abhi nahi, kabhi nahi
Tu hai aag main hoon shola ... aaja meri Coca-Cola
Tumhari kamzori hi tumhari sabse badi taqat hai
Wah re saali kismat tu kaisi hai re bala ... ek Majnu banke behta doosra Ranjha banne chala
Sach ka nakaab pehne huye kuch namumkin kisse ... aahista aahista wakehi sach ban jaate hai
Sach kalpana se bhi zyada vichitra hota hai
Savera hone se pehle ... andhera bahut gehra ho jaata hai
Bhook mazboot se mazboot aadmi ko todh deti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
