dialogues for Tag: Romance
Tag: Romance
Tumsa koi aur is zameen pe hua, toh rab se shikayat hogi ... tumhe chahane waala koi aur hua, toh qayamat se pehle qayamat hogi
Mere dil mein toh sirf tum hi tum ho ... lekin tumhare dil mein main hoon ya nahi ... main nahi jaanta
Ishq par zor nahin hai, hai yeh woh aatish Ghalib ... joh lagaye na lage, aur bujhaye na bujhe
Joh jisse pyar karta hai ... agar uske dil mein zara si bhi jagah pa le ... toh marke bhi nahi marta
Husn ki taazgi pe ishq waale jaan diya karte hai ... mastiyan lootne se pehle yoon hi baat kiya karte hai ... roop ko chaand aur zulfon ko ghatta kehte hai ... karke tareef mazaa loot liya karte hai
Husn pariyon se chamak chaand se laya hoga ... shabhnami phoolon se honthon ko sajaya hoga ... zulf bhikre toh ghattaon ko paseena aaye ... badi fursat se tujhe rab ne banaya hoga
Yeh joh kambakht mohabbat hai na, kabhi kabhi bahut najayaz sharton pe hoti hai
Zindagi se jab pyar nikal jaye toh ... zindagi apahij ho hi jaati hai
Yeh sirf phool nahi hai ... is gulab mein khushboo se zyada tumhara pyar basa hai
Pyar do logon ko ek karta hai ... alag nahi
Us chandani raat mein tum chand se bhi haseen lag rahi thi
Yeh woh lamhe hai jin mein maine tumhari saanson ko chua hai ... jin mein maine ek bahut haseen sa khwaab dekha hai ... yeh lamhe kabhi guzar nahi sakte
Tum meri zindagi mein ajnabee banke aaye the ... lekin ab tum iske maalik ho
Pyar paana sabki kismat mein nahi hota
Kitni aasani se ginvah diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi ... lekin yeh nahi socha ki un palon mein beetta toh main hi tha ... diya tum jalati thi ... par jalta toh main hi tha
Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye ... hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye
Ek baat hoti thi tab tum bahut yaad aati thi ... (kab) ... jab jab main saans leta tha tab tab
Pyar ka karobaar toh bahut baar kiya hai ... magar pyar sirf ek baar
Itna guroor toh chaand ko bhi nahi hai
Insaan ko usse shaadi nahi karni chahiye, jisse woh pyar karta ho ... balki usse shaadi karni chahiye, joh usse pyar karta ho
Bewafaa aadmi khuda se gabra jaata hai ... aur sacha pyar hai na khuda se takra jaata hai
Pyar mein jeet ussi ki hoti hai ... joh raaste mein aane waali har deewar ko gira de
Aap haath uthayen ya haath phailayen ... main apna pyar aapki jholi mein nahi daal sakta
Main tumhara haath kabhi nahi chhodunga ... aaj nahi, abhi nahi, kabhi nahi
Prem ke do hi roop hote hai ... kisi ko apna kar lena ya kisi ka ho jaana
Chehra mera tha, nigaahein uski ... khamoshi mein bhi woh baatein uski ... mere chehre pe ghazal likhti gayi ... sher kehti hui aankhen uski
Sau chaand bhi chamkenge toh kya baat banegi ... tum aaye ho toh is raat ki aukaad banegi
Prem ki aag dono taraf lagi ho toh jalti rehti hai ... varna bhuj jaati hai
Tum jaisi ladkiyan jab pyar mein padti hai na ... toh great love stories banti hai
Is duniya mein aaisa koi nahi bacha jisse kabhi na kabhi, kahin na kahin, kisi na kisi se mohabbat na hui ho ... aur us mohabbat mein kuch mile toh kuch bhichad gaye ... par unki mohabbat hamesha zinda rahi hai
Jab pyar karne waale apne jazbaato ko dabakar ... rishto ko koi doosra naam dete hai ... toh kabhi na kabhi, kahin na kahin jazbaat phoot phootke rone lagte hai
Pehle din inkaar kiya ... duje din iqraar ki ... teeje din pyar kiya
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
