dialogues for Tag: Shayari
Tag: Shayari
Joh bhi pyar se mila hum us hi ke ho liye ... jahan par khatiya mili hum wahin pe soo liye
Woh shaadi hi kya teri dawat nahi jis mein ... aur woh aag hi kya teri soorat nahi jis mein
Girte hain sher savaar hi maidan-e-jung mein ... woh tiflya kya girega joh ghutno ke bal chale
Roop rang mein gori ho chahe kaali ho ... khushnaseeb woh jija hai jiski saali ho
Zindagi ki khasiyat hai yeh kabhi jhukti nahi ... saanse ruk jati hai magar zindagi rukti nahi
Falak ko zid hai jahan bijliyan girane ki ... hum mein bhi zid hai wahin apna aashiyan banane ki
Woh mooch hi kya jisse phera na jaye ... aur woh husn hi kya jisse cheda na jaye
Woh copy hi kya jiska koi cover na ho ... aur woh ladki hi kya jiska koi lover na ho
Humne wahan apna khoon bahaya jahan tera pasina nikla ... bade bhai se bhi badhkar samjha tujhe ... par saale tu toh bada kamina nikla
Isne tumhe dekha angle badal badalke ... aur tumne isse maara sandal badal badalke
Mujhe aaina na dikhao, ismein koi pagal nazar aata hai ... yeh main nahin, ismein sara jahan nazar aata hai
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha ... meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha
Hamara yaar toh kanoon ke liye jeeta hai ... vardi ke andar kanooni cheetah hai
Yahan ki fikar wahan ka khayal rakha hai ... badi ada se dono jahan sambhal rakha hai
Main bhi kitna harami hoon, dono taraf dhol bajhata hoon ... udhar se maal kamata hoon, idhar se naam kamata hoon
Joh samundar mein gotha lagate hai woh bheegkar jaate hai ... aur joh bar mein aate hai woh do-do peg peekar jaate hai
Kisi ke kaan mein heera, kisi ki aankh mein heera ... mujhe heeron se kya lena, mera mehboob hai heera
Aag petrol ko nahi chhodti ... nevla saanp ko nahi chhodta ... aur jab main paison ka hisaab jodhta hoon toh main apne baap ko nahi chhodta
Achchi soorat bhi kya buri shai hai ... jisne daali buri nazar daali
Lamho ka bhanwar cheer ke insaan bana hoon ... ehsaas hoon main waqt ke seene mein ghada hoon
Dekh sakta hai bhala kaun yeh pyare aasoon ... meri aankhon mein nah aa jaaye tumhare aasoon
Woh dil le gayi ek baar dekhkar ... hum kuch na kar paaye lagatar dekhkar
Mujhko meri awaaz sunai nahi deti ... kaisa yeh mere jism mein ek shor macha hai
Koi nahi hoga beghar jab talak zinda hai Amar ... maut jise dhoondti hai dar-badar, log usse kehte hai baazigar
Deewane se deewangi ka sabak na poochna ... woh khud nahi jaanta ki woh deewana kyun hai
Mehfil lagi hai yahan mohabbat karne waalon ki ... koi lutta hai toh koi lootta hi hai ... dilon ke khel mein aksar kahin na kahin sheesha tootta hi hai
Agar dil mein hai mohabbat toh izhaar kyun nahi karte ... mere pyar se nahi jab inkaar toh ikraar kyun nahi karte
Har ek aashiq ke dil mein darr hai apna ... ki har mashooq ab dilbar hai apna ... hatheli par liye phirte hai sar hum ... haseeno ke dilon mein ghar hai apna
Rehmat-e-khuda ki jis par ho barasti ... uski kya mitta sakega koi hasti
Pehankar police ki yeh vardi hum ghalib tamasha-e-ahle-karam dekhte hai ... chaman ko ujhadte kahi baar dekha, par aaj is club ka hashar dekhte hai
Kal yeh inaam dekh sari duniya baimaan ho jayegi ... toh harjai ko yakeen hai, kal sari khudai be-imaan ho jayegi
Ab yeh dard saha nahi jaye aur bin kahe bhi raha nahi jaye ... meri samajh mein kuch kuch aaye, machi hai kyun hai-hai ... pyare yahi toh ishq kehlaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
