Dialogues from Movies for Parties
Jab tum paas hoti ho toh waqt kitni jaldi guzar jaata hai ... aur jab tum nahi hoti ho toh waqt kaate nahi kat'ta
Zindagi imtihan leti hai aur joh aadmi us imtihan mein first aata hai ... woh asli hero kehlata hai
Is duniya mein haq kabhi maangne se nahi milta ... cheenana padta hai
Mera kadh bhale hi paanch foot ka hai ... lekin meri zubaan dus foot ki hai aur haath bees foot ka
Sharaab aur juae ke narak se aadmi ko vapas laya ja sakta hai ... lekin agar mard kisi doosri aurat ke pallu se band jaye ... toh usse sindoor aur mangalsutra bhi vapas nahi la payenge
Insaan hi bane rehna ... bhagwan banane ki koshish mat karna ... varna woh aaisa mitta dega ki na tum jee sakoge, na hi mar sakoge
Main Bharat sarkar ka sipahi hoon ... jisse yeh haq diya gaya hai ki joh kanoon ki lakeer par paon rakhe ... uske paon kaatkar phek doon
Yeh sindoor bazar mein do paise mein zaroor milta hai ... lekin jab kisi aurat ki maang mein bhar diya jaata hai ... toh iski keemat bhagwan bhi nahi chuka sakta
Insaan paison se nahi ... parvarish se bada hota hai
Stri ko apne pati ka saaya bankar rehna chahiye ... chahe sukh mein ho ya dukh mein
Aag ko jab tak na chedo, tab nak nahi bhadhakti ... chedo toh aaisa bhadhakti hai, ke jalakar raakh kar deti hai
Sabka sukh chain cheenkar kaise chain se lete hue ho
Saari duniya ka dard ... maa ki chatti se lagte hi mitt jaata hai
Aap kanoon haath mein le nahi sakte ... aur apun ka haath duniya ka koi kanoon rok nahi sakta
Yeh khel teri zindagi ka aakhri khel hoga ... aakhri khel
Main teri maut bankar aaya hoon ... aur teri maut atal hai
Haath toh laga ... iske baad dhoondhta reh jayega ki tere jism ke saath koi haath bhi tha
Mere gunaah mat gina ... sazaa de, chala goli
Sipahi jab maidan-e-jung mein utarta hai ... toh apna hathyaar lana nahin bhulta
Agar kisi ne iski taraf aankh uthakar bhi dekha ... toh uske saare khandaan ki aankhen nikaal doonga
Samundar mein mutthi bhar shakkar dalne se ... uska namak kam nahin ho jaata
Jurm ko mitane ke liye ... mitna bhi padta hai
Gunday aur gundagardi yahi se janam lete hai ... jisse aap police station kehte hai
Shehar ka sabse bada gunda ... doosre gunday ko zamanat par le jaane aaya hai
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Teri maut tujhse utni hi door hai ... jitni door main tujhse hoon
Mera bas chale toh ek minute mein 60 seconds, ek ghante mein 60 minute aur ek din mein 24 ghante ... bas tumhe dekhta rahoon, tumhe choomta rahoon
Yahan ya toh bahut sanata hai, ya phir bahut shor ... aadmi akela hai, ya phir mela hai
Girlfriends ka aana jaana toh amiron ki shaan hoti hai
Kahin aag lagne se pehle uthta hai aaisa dhuaan ... jaisa hai idhar ka nazaara, waisa hi udhar ka samaa
Bade toh aap ban gaye ... lekin khud ke mamle mein zara chote reh gaye
Amrica mein pyar ka matlab hai len den ... lekin Hindustan mein pyar ka matlab hai sirf dena, dena, dena
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
