dialogues for Tag:
Tag:
Bhagwan ko milne ke liye log mandiron mein jaate hai, apne bag mein uski tasveer rakhte hai, gadi mein photo tangte hai ... lekin apne dil mein usko koi nahi rakhta hai
Arrey duniya waalon ne toh chand tak ko nahi chhoda ... toh ek abla besahara aurat ko kya chhodenge ... duniya ki ungliyan uspar uthti rahengi aur aurat ka dum ghutta rahega
Patient ko maarne se bemaari nahi marti
Joh galati karta hai ... woh galati sehne waale se zyada hurt hota hai
Taqat badhne se zimmedariyan bhi badh jaati hai
Yeh mera tera, tera mera ... is duniya ki sabsi badi problem hai
Har insaan sapne dekhta hai ... lekin sapne mein hichki aa jaye na ... toh sapna toot jaata hai
Baap banne ka matlab sirf bachcha paida karna nahi hota
Jo hoga ... jab hoga ... aap sabko hila dega
Galat waqt mein insaan galat faisla leta hai
Pyar badi hi khoobsurat cheez hai ... lekin pyar akele todhi aata hai ... apne saath complications bhi lekar aata hai
Kuch patte aaise khulte hai ... joh khelne waale ko hi pack kar dete hai
Majboori ek hi baar hoti hai ... agli baar nahi, kabhi nahi
Insaan ka iraada aur uski taqdeer ... bolke nahi badalte
Luck ek hi cheez ki guarantee ke saath aata hai ... ki woh kabhi bhi badal sakta hai
Na luck badalta hai na insaan ki taqdeer ... insaan ka waqt badalta hai
Kabhi kabhi zindagi mein kuch cheezein bina sooche karni chahiye
Jua woh nasha hai ... joh ek baar jeete toh insaan ko vapas kheench laata hai
Jaan dene se lakeerein mitt jaati hai ... aur zinda rehne se shayad lakeerein badal sakti hai
Insaan aur luck dono ka koi bharosa nahi
Stardom ek cocktail hai ... fame, power, money ... bahut khatarnaak nasha hai
Jaane se pehle, ek aakhri baar milna kyun zaroori hota hai?
Choti pe akele khade hone ke liye ... doosre ko girana zaroori hai
Duniya mein aisa ek aadmi batao, jisne koi bada sapna poora karne ke liye ... kuch achcha, kuch bura aur kuch bahut bura na kiya ho
Agar apne aap par bharosa ho toh dosti aur bhi kamyaab bana deti hai ... aur agar apne aap par shaq ho toh barbaad bhi kar sakti hai
Ya toh main bhagwan ke khel mein apni haar maan loon ... ya uske khel ko palat doon
Galat soch ka matlab kabhi sahi nahi ho sakta
Yakeen ko hamesha waqt ke peeche chalna chahiye ... aage nahi
Insaan ko kandhe ki zaroorat sirf do baar padti hai ... ek marne ke baad aur ek marne se pehle
Mere har jhoot ki niyat sachi hai
Darr wahan hota hai jahan shaq hota hai
Kuch baatein aisi hoti hai joh insaano ko pata nahi honi chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
