Dialogues from Movies for Parties
Jab apne bichadte hai na ... toh kabhi nahi milte, kabhi nahi
Sari duniya ki thandak paisa hai
Kabhi kabhi aankhon dekhi aur kaano suni baat bhi jhoot ho sakti hai
Aadmi issi mitti se banta hai, issi par jeeta hai, issi ke liye ladta hai aur aakhir mein ... issi mitti mein mil jaata hai
Maine itne aasoon dekhe hai ... ke unhe jama karta toh ek samundar ban jaata
Dosti ya dushmani, jab tak jam ke na ho ... mazaa nahi aata
Main hoon Mr. Tolmol, baat karun main gol-gol ... khol doon main sabki pol
Gareebon ke mooh mein zabaan hote hue bhi ... woh ameeron ki duniya mein goonge bankar jeete hai
Abhe kamzor dil ke kabutar ... astabal ke khabeez!
Aaj mile hai saare friends old old ... sab milke khao zarda "Gopal Gold"
Do kadam kya, sau kadam peeche hatt ja ... lekin aaj na tu apni maut se peecha chhuda sakta hai ... na maut ke saaye se
Main teri ek ek saans maut ke bazaar mein bechkar aaya hoon
Bacha maa ki kok mein baad mein panapta hai ... humra ghulam pehle banta hai
Main inteqam ka ek aaisa dahekta hua koyla hoon ... jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai ... aur is jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge
Ghaas aur dushmani kahin bhi aur kabhi bhi pehda ho sakte hai
Yeh achanak Star TV mein se Doordarshan kaise ho gayi?
Tera mooh baatein karta hue achcha nahi lagta hai ... Fevicol dhal uske andhar
Chalti hai kya nau se barah?
Sar se paon tak khud ko dhak liya hai ... meri Roopa ka roop toh kahin se nazar hi nahi aata ni
Hindustan ki pavitra dharti par pehda hokar ... gadhe ki tarah mehnat karke, kutte ki tarah jeena chhodkar ... chori chakari kar raha hai?
India mein time se aane waale ki koi value nahi hoti ... der se aane waale ko star samjha jaata hai
Agar maarna chahte ho toh che ki che goli humri khopadiya mein utaar do ... kyun ki agar humre jism mein thodi bhi jaan reh gayi ... toh hum tujhko jaan se maar daalonga
Woh pyar nahi ek mazak tha ... aur mazak dil behlane ke liye hota hai ... dil mein basane ke liye nahi
Tumne khud mujhe zindagi ke aaise modh par akela chhoda hai ... jahan se aage main badh nahi sakti aur peeche hatne ke kabil nahi rahi
Apne maqsad mein kamyaabi haasil karne ke liye ... taqat se zyada himmat ki zaroorat hoti hai
Yeh upar waala hai na hamesha chuhe billi ka khel khelta hai ... kabhi itna sukh deta hai ki sambhala nahi jaata ... kabhi itna dukh de deta hai ki dil se nikala nahi jaata
Udhar log mitane jaate hai gham ... aur uska naach dekhke nikal jaata hai ache-achon ka dum
Lalach bahut badi kamzori hai insaan ki
Sari duniya ke bache jab pehda hote hai toh maa maa karke rohte hai ... yeh gadha cinema cinema karke roh raha tha
Insaan kitni bhi jaldi kare, pahunchta tabhi hai jab usse pahunchna hota hai ... aur pahunchta wahi hai jahan usse pahunchna hota hai
Zameen ussi ki hoti hai jinke hal chalte hai ... unki nahi joh unpar hal chalate hai
Jism ki numaish paschim ki ada hai ... sharm Hindustan ka gehna
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
