Dialogues from Movies for Parties
Shor lehron ki aadat hoti hai aur khamoshi chattanon ki taqat ... lehren awaaz toh bahut karti hai ... magar chattanon se takrakar toot jaati hai
Jiske paas mohabbat hai ... usse na jaan ka darr hai, na jahaan ka
Mera beta sharafat ki missile hai missile
Aaisi maut maaro inko ... ki ishq karne waalo ki rooh tak kaanp jaaye
Upar waale tera khel nirala ... kutte ki dumm ko seedha kar daala
Jab baazi dukki aur tikki se jeeti ja sakti hai ... toh uske liye ekka nikalne ki kya zaroorat hai
Tumne samundar ko lalkaara hai ... ab aaisa toofan aayega, aaisa sailaab uthega ... ki tumhara ishq, jispar tumhe bahut naaz hai ... tinke ki tarah beh jayega, tabah ho jayega, fanaa ho jayega
Royega toh tu, jab khelenge hum hu tu tu ... aur thukenge tere mooh par thu thu thu
Yeh phool nahi mere dil ka lahu hai ... aur Daddy yeh dushman nahi, tumhari hone waali bahu hai
Ab toh is zindagi mein wohi aayegi ... yah phir is aashiq ki jaan jayegi
Yeh aap par itne phool barsaingi, itne phool barsaingi ... ki aap bloody fool ho jayenge
Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai ... ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai ... kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai ... takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai
Yeh kaunsa tha jaam joh tune pila diya ... is sirphere ka sara system hila diya
Abhe oh ujhdi hui riyasat ke lutte huye sultan
Life mein teen cheezon ke peeche khabi nahi bhagna chahiye ... bus, train aur chokri ... ek gayi doosri aati hai
Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar ... chehre par hai gussa, dil mein hai pyar ... aa gale lag ja mere yaar
Agar tum mein mazaak sehne ki himmat nahi hai ... toh mazaak kiya bhi mat karo
Duniya banane waale kya tere mann mein samayi ... kahe ko ghadi banayi
Duniya mein aadmi ki nahi ... uske kapdon ki, uske dhan ki kadar hoti hai
Main tere pyar mein kya kya na bana Meena ... kabhi bana kutta, kabhi kamina
Aurat ek khoobsurat phool ki tarah hoti hai ... jiski khushboo ko sirf mehsoos kiya ja sakta hai ... magar usse kuchla ya masla nahi ja sakta
Samaaj se gandagi saaf karne ka keeda hai mere andar
Ek sachcha aadmi hi apne sar par goli khane ke liye tayaar ho sakta hai
Faanoos banke jiski hifaazat sarkar kare ... woh mantri kyun mare, jiska ilaaj poora aspataal kare
Woh aaye ward mein hamare Sahil ki harkat hai ... kabhi hum unke plaster ko, kabhi apni pattiyon ko dekhte hain
Ek waqt par main sirf ek hi kaam karta hoon ... jab peeta hoon toh khoob peeta hoon ... aur jab duty karta hoon toh sirf duty karta hoon
Waada karo ki aaj raat tum mere khwaabon mein zaroor aaoge
Journalist mar sakta hai ... journalism nahi
Saanp ke toh sirf daant mein zehar hota hai ... meri har saans mein zehar hai
Yeh zameenay jispar apna raj kayam karna chahte ho ... ek din tumhare liye kabristan ban jayega
Kanoon hum mein phaasne ke liye rozana dus raaste banata hai ... aur hum usse nikalne ke liye sau raaste banate hai
Mana ki bandook aur talwar mein bahut dum hai ... lekin kalam aur kalam ki awaaz hazaron bandookon aur lakhon talwaron par bhari hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
