dialogues for Tag: Shayari
Tag: Shayari
Kasoor mera nahi roti ki kasam ... bhook ki duniya mein imaan badal jaate hai
Pilana bhi farz tha toh kuch bhi pila diya hota ... sharaab kam thi toh pani mila diya hota
Joh main paaon apne piya ko, aakhiyan mein rakh loon ... na main dekhoon koi ore, na toku dekhan doon
Joh bhi aaya hai tere paas baitha chahe ... hum kahan tak tere pehlu se sarakte jaaye
Mitt gaye jiske liye naam tak uska na liya ... kaash is baat ki usko bhi khabar ho jaati
Sari duniya bhi joh thukraye toh kya hota hai ... jiska koi nahi hota uska khuda hota hai
Jigar ki chot hai aye dost, dauraahi nahi jaati ... lapat hai aag ki, hoton pe phir laayi nahi jaati
Footpath har sadak hi hai aashiyan hamara ... rehne ko ghar nahi hai, sara jahan hamara
Jeene ki aarzoo mein marre ja rahe hai log ... marne ki aarzoo mein jeeye ja raha hoon main
De jaam ya gham de humko ... sharaab bhi pee jaati hai aur aasoon bhi peeye jaate hai
Matwaali raftar qayamat, payal ki jhankar qayamat ... aaj qayamat se pehle hi, aa pahunchi sarkar qayamat
Yeh husn Allah Allah, nazar tauba tauba ... ki ek hi jhalak mein khudai bhula di ... haseeno ne loota hum mein ... aur humne haseeno pe sari jawani luta di
Himmat haarke behte rahe, apna yeh dastoor nahi ... hum manzil se door sahi, manzil humse door nahi
Hai tere saath meri wafa, main nahi toh kya ... zinda rahega pyar mera, main nahi toh kya
Badle badle mere sarkar nazar aate hai ... aur mujhko barbaadi ke aasaar nazar aate hai
Hum apne dard ki tauheen kar gaye hote ... agar sharaab na hoti toh mar gaye hote
Haan karta hoon toh aate hai paseene unko ... na na karta hoon toh raaton ko woh dar jaate hai
Ghash aa gaya dil-e-yaar ko beemaar dekh kar ... aur ghash aa gaya beemar ko dildaar dekh kar
Laayi hayaat aaye, qazaa le chali chale ... apni khushi na aaye, na apni khushi chale
Badalkar fakeeron ka hum bhes Ghalib ... ahle-e-tamasha ke dekhte hain karam
Beta rayees ka magar jangju bhi hai ... daulat ke saath saath, ladai ki khubhi bhi hai
Jhamela char din ka tha, hawali they mawali they ... Sikandar jab gaya duniya se, dono haath khali they
Woh kaali kaali botalein joh hai sharaab ki ... arre raatein hai in mein band hamare shabaab ki
Kahin bhi apna thikana nahi is zamane mein ... na aashiyane ke bahar, na aashiyane mein
Kali dekhi thi, ab gulzar hai tu ... churi dekhi thi, ab talwar hai tu
Tum gham-e-beti mein dubli na hui ... main bekaari mein mota ho gaya ... tum balti se ho gayi drum ... main glass se lota ho gaya
Subah hoti hai, shaam hoti hai ... umar yunhi tamaam hoti hai
Aag, pani, thandi sadak, taad ka pedh ... thandi ka mausam, oon wali bedh
Vaada kiya tha yaar ne aayenge din dhale ... suraj khuda ke vaaste ho ja tale tale
Ya rab tu apni jannat ko rehne de apne paas ... humne zameen pe kar liya jannat ka nazara
Sau baar jahannam mein jalana ya rab ... jee chahe toh phansi pe chadana ya rab ... mashooq kahe humko buzurg ... woh din na dikhana ya rab
Khili thi chaandni, charon taraf pani barasta tha ... main jab pehda hua, toh meri maa roti thi aur baap hasta tha
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
