Dialogues from Movies for Parties
Hum toh kalakar hai ... hamari kala ki taqdeer mein car likhi hi nahi hai ... yeh kalakar bekaar sadakon par dhukaar ki tarah ghoom raha hai, dhukaar ki tarah
Main toh film bhi dekhkar pasand karti hoon, story sunkar nahi ... ussi tarah main ladka bhi dekhkar pasand ya napasand karoongi
Jin logon ko qaid mein rehne ki aadat ho jaati hai ... unhe khushi qaid mein hi milti hai
Yeh ajeeb rishtey hai ... in mein log alag toh ho sakte hai ... par juda nahi ho sakte
Jurm ki zindagi ek aaisa dhagaa hai ... jis mein agar ek baar aadmi uljha toh bas ulajhta hi jaata hai
Waqt kaise bhi guzar jaata hai ... waqt ki yahi ek achchi baat hai
Aapka suputra bahut samajhdar hai ... yeh maana ki teekhi dhaar hai, magar zara dildar hai
Shareer ke botal mein jawani ka khoon joh hai woh sode ki tarah ubal raha hai ... kyun ki jawani rang hai, bahaar hai, khumaar hai, suroor hai, guroor hai ... ashaon ka khilna hai, mann ka milna hai, mann ki mannat hai, dil ki jannat hai
Pair choone se bade chote nahi ho jaate hai ... magar chote joh hai woh khote zaroor ho jaate hai
Pedh, nadi aur dharti se bada koi daani nahi ... aur foren joh apni bhool sudhaar le usse bada koi gyani nahi
Hum saadharan premi nahi ... desh premi hai
Apni zindagi toh aaise chal rahi hai jaise ee desh ko tohri sarkar ... bina engine ke handle, upar se scandal pe scandal
Is duniya mein bahut sari khushkismat jawaniyan aaisi hai jinke saron par baap ke daulat ki chhat hai ... joh apne pair pe nahi baap ke pair pe chalti hai ... aur baap ki jeb ko apna dil banake duniya mein jeeti hai
Agar kabhi phir se shaadi karoonga toh aaisi khubsoorat ladki se ... joh hotel mein entry kare toh lage Sridevi, drawing room mein behti ho toh Madhuri Dixit, aur andar ke room mein ho toh Kimi Khaatpar ... matlab Katkar
Yeh hi Mama Banarasi ka dhanda hai ... gale mein samasya ka phanda hai ... magar Mama Banarasi kaatte hai aur shaadi byah ke rishtey ko prasad ke ladoo ki tarah baantte hai
Bhagwan se toh kayi baar aapko maang liya hai ... bas ab aapse aapko maangna baaki hai
Mere paas woh kuch bhi nahi joh aapke paas hai ... lekin itna paisa hai ki ek mangalsutra khareed sakta hoon ... itni taqat hai ki kamakar khila sakta hoon ... aur itni mardangi hai ki bachche pehda karke aapko nani bana sakta hoon
Dil daulat se zyada taqatwar hota hai
Joh mard apne pyar ke bandhan ki hifazat nahi kar sakta, woh mard nahi ... joh aurat apne pyar ke bandhan ko todna chahti hai, woh aurat nahi
Main tera Yamraj hoon
Meri shaan meri laash ke saath hi giregi ... usse pehle nahi
Naya nau din ... purana sau din
Do premiyon ko milane ke liye hazaar jhoot bhi bolne pade ... toh bolna chahiye
Asli daulat gadiyaan, bungley, bank balance, kutte, billiyaan nahi hote ... asli daulat woh hamare apne hote hai
Tumne abhi tak mere sholay nahi dekhe, sharafat dekhi hai ... jis din sharafat chhod di maine, us din koi bhi tumhara rakhwala banne se inkaar kar dega
Mujhe jeetne ki bahut buri aadat hai
Mazloomon ka saathi, bebason ka bhai ... aur ablaon par zulm karne waalon ke liye kasai hoon main
Jab gareeb ka khoon khaulta hai ... toh uske gusse ke sailaab mein daulat ke bade se bade pahad toot jaate hai
Main tera khoon karoonga aur tera ghost apni gali ke kutton ko khilaonga
Ab hua malum aahon ka dhuan hota hai kya ... apne daaman mein lagi aag toh rota hai kya?
Ameeron se gareebon ki haddiyan toh chabayi ja sakti hai ... unke ghar ki roti nahi
Dil ko rahat sukoon nazaron ko, dono aalam pe tera sayaa hai ... husn-e-jaad karne waale ne tujhe kuch soch ke banaya hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
