Page 377 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

377 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 376 377 378 459
Patthar par aasoon girne se, patthar pighalta nahi
Insaanon ka paap ya toh aulad bankar samne aate hai ... ya phir aulad ko bhugatne padte hai
Pyar andha hota hai ... usse koi niyam, koi hadd dikhai nahi deti ... woh kisi bhi sulukh ki parwah kiye baigar apni hadd se guzar jaata hai
Duniya ke dastoor paon ki zanjeer ban sakte hai, maut ki nahi ... zamana zinda laashon ka milan rok sakta hai, aatmaon ke milan ko nahi rok sakta
Joh jeevan de sakta hai ... woh jeevan le nahi sakta
Jis pyar mein tyaag ho, woh tyaag mahaan hota hai ... aur usse bhi mahaan hota hai, tyaag karne waala
Pyar karne waale jismon ke milan par nahi ... aatmaon ke milan par bharosa karte hai
Agar garajne se hi barbadi ka toofan uthne lage ... toh barasne ki zaroorat nahi padti
Kaante beejhne waale kaanto par hi chala karte hai ... kaante beejhkar phoolon ki umeed moorkh kiya karte hai
Badal ki taqdeer mein toh sirf garajna aur aasoon bahana likha hota hai
Pita ka hukum manna beti ka farz hai ... lekin patni ko pati se alag rehne ka hukum agar bhagwan bhi de ... toh usse bhi thukra dena patni ka dharam hai
Tu apno ka nahi, tere desh ka hi gaddar nahi ... balki gaddaron ka bhi gaddar hai ... aur tujh jaise gaddar ko zinda rehne ka koi haq nahi hai
Jab tak main uska khoon nahi kar loonga ... na mujhe neend aayegi, na mujhe maut aayegi
Agar doobara tumne hum dono ki zindagi mein phir se koi gadbad karne ki koshish ki ... toh maar maarkar tumhari shakal aaisi bighad doonga ... ki museum waale bhi apne showcase mein nahi rakhenge
Jaldi se chalte bano varna aaisi laat maaroonga ki football ki tarah goalpost se latakkar ... baar baar goal hote rahoge
Kutte kamine tu mujhse bachkar nahi ja sakta ... main tujhe dhoond nikaloonga, main tujhe pataal se bhi dhoond nikaloonga ... aur main tujhe dhoondkar tera kaleja cheer doonga, main tera pet phaad daloonga ... haramzade tu mujhse bachkar nahi ja sakta
Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho ... lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi ... us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge
Is duniya mein suraj ko mutthi mein chupana aasaan hai ... lekin ek baar jurm karke usse hamesha ke liye chupana namumkin hai
Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon ... mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon ... jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai
Khatron se khelna hamara business hai, hamara karobar hai ... hamare paas maut ki factory hai ... hum maut banate jaate hai aur society mein bechte jaate hai
Sharaab aur daulat in do cheezon ka nasha aaisa hi hota hai ... ki jisse insaan gir hi jaata hai
Aap aur hum uttar aur dakshin ki tarah do dishayen hai ... joh kabhi nahi mil sakti
Agar tumne khoon se khelne ki koshish ki ... toh khoon ki dhara tumhare shareer se bahegi ... mere shareer se nahi
Taash ki gaddi bhale hi bees rupaye ki ho ... lekin uspar jua karodon ka kehla jaata hai
Sabse gehra zakhm wohi log de sakte hai ... joh khud gehri chot khaye huye hai
Jua mein juari haarta hai ... patta nahi
Jai Maa Durga, pakad ke laya hoon murga ... jaldi se isko kaato aur maal apas mein baanto
by: Unknown
from: Superman (1987)
code:
Har positive ka negative hota hai ... roshni ke baad andhera zaroor hota hai
Tumhari jagah koi kabil officer hota toh FIR - First Information Report hoti ... Fake Information Report nahi
Zulm karne waale aur zulm sehne waale dono ... aakhir mein hamesha ek ho jaate hai
Woh roj raat ko naye ghat ka pani peeti hai
Aaj main tujhe kisi adaalat mein pesh karne ke liye giraftar nahi karoonga ... aaj main tujhe uss upar waale ki adaalat mein pahunchaonga jahan tujh jaise haraamzadon ka faisla ... bagair behas ke hota hai
1 376 377 378 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..