Dialogues from Movies for Parties
Shaadi aurat ko majboot bana deti hai aur mard ko kamzor
Shaadi woh pavitra bandhan hai joh baaki saare bandhano ko kamzor bana deta hai
Sharifon ko lootna baimaani hoti hai ... aur baimaanon ko lootna chalaaki
Pehli galati maaf kar deta hoon ... doosri bardaash nahi karta
Aaj kal joh jitni zyada namak khata hai ... utni hi zyada namak haraami karta hai
Woh nahi koi aur sahi ... koi aur nahi koi aur sahi
Asli sazaa toh woh hoti hai ... joh gunahgar zindagi bhar bhugatta rahe
Maike se aaja biwi, teri yaad mein ho gayi TB ... main kheer samajhkar kha loonga, teri jooti bhi teri gaali bhi
Shraddha sirf bhagwan par rakhi ja sakti hai, yeh tumse kisne kaha bete? ... woh toh apne mann ki bhavna hai ... shraddha toh apni maa, baap, desh, apne log, apna kaam, kisi par bhi rakhi ja sakti hai ... yeh wohi shraddha hai joh har insaan ko burre kaam karne se rokti hai ... achche kaam karvane par majboor karti hai ... jis din yeh shraddha nasht hui mann se ... hum janwaron se zyada kuch nahi rahenge
Aaj kal toh do hi logon ko kaam milta hai ... joh bahut neeche hai, mazdoori karte hai ... ya toh bahut oonche hai ... is jaise beech waale logon ka haal toh beech waalon jaisa ho gaya hai ... taali bajao aur paisa maango
Rayees ho jaane se koi sharif nahin ho jaata
Main chaal chalta nahin ... chaalein pakadta hoon
Aap aadmi bhale baade hain ... lekin insaan bahut chote hain
Agar tumhare jaise dost is duniya mein hue ... toh kya zaroorat hai dushmano ki
Bikke huye logon ki zindagi aur maut ... khareedne waalon ke haathon mein hoti hai
Zindagi mein Allah aur maa ke baad is roti ko izzat di hai ... isse main zameen par girakar beizzat nahi hone doonga
Zeherilay saanp zyada din zinda nahi rehte ... ek na ek din kisi ki laathi uska sar kuchalkar rakh deti hai
Is shareer par vaasna ke itne daag hai ... ki yeh behta khoon bhi inhe dhoh nahi sakta
Pathan ka lafz aur mayaan se nikla talwar ... kabhi vapas nahi jaati
Pet ki bhook mitana mere liye zaroori nahi hai ... zaroori hai dil ki pyas bujhana
Apne jeevan ka andhera mittane ke liye maine tujhe diya jalane ke liye kaha tha ... tune toh mujhi ko jalakar apne jeevan mein ujala kar liya
Tum kya samajhti ho Krishna bhagwan tumhe bachane aayenge ... woh Mahabharat mein aaye the ... is Bharat mein nahi aayenge
Bahar khade rehkar tamasha dekhne waala sirf vedant jhaad sakta hai ... kisi ke andhar ki peedha nahi samajh sakta
Dushmano ko maaf karna insaaniyat hai ... lekin makkaron ko maaf karna bewakoofi hai
Khushiyan toh insaan har kisi ke saath baant sakta hai ... lekin apne dukh usse apne dil ke andhar hi rakhne padte hai
Sacha bahadur wohi hota hai joh toofani samundar ke beech mein ja karke machli pakadne ka jaal phekta hai ... kinare behetkar pani mein kaanta daale machli ke phasne ka intezar karne waale ko bahadur nahi kehte
Hum khatron ko paalte nahi, khatam kar dete hai
Joh kaam rishwat se na ho ... daan punya se ho jaata hai
Jab doosra koi kaam kar raha ho toh beech mein dhakal dena badtameezi hoti hai
Business mein main dosti nahi paala karta
Duniya mein joh aadmi jitna zyada chanda deta hai ... log usse utna hi sharif aur imaandar samajhte hai
Adaalat shaq par nahi ... yakeen ki buniyaad par faisla karti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
