Page 409 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

409 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 408 409 410 459
Mere paas apne baap dada ki daulat ki nahi ek pai hai, aur nahi mujhe chahiye ... mere paas agar kuch hai toh apni maa ka diya hua aashirwaad
Mere zakhm jaldi nahin bharte
Jisne pachees baras apni maa ko har roz thoda thoda marte dekha ho ... usse maut se kya darr lagega
Mujhse paanch minute na milkar ... aapne apna paanch lakh ka nuksaan kiya hai
Main paanch lakh ka sauda karne aaya hoon ... aur meri jeb mein paanch phooti kaudiyaan bhi nahin hai
Aadmi khatron pe fateh pa sakta hai ... lekin maut ko nahi jeet sakta
Zindagi ka har woh zakhm jiska koi ilaaj na ho ... uspe daulat hi marham ka kaam kar sakti hai
Apun ke dhande mein aadmi ko dhande se nahi pehchanta ... lekin uska kaam karne ke style se pehchanta hai
by: Unknown
from: Shalimar (1978)
code:
Khwab zindagi se kai zyada khoobsurat hote hai
Pyar, khansi aur khushi ... chupaye se chupte hai kya
Sach darrawana nahi hota, ghinawana nahi hota ... sach toh hamesha shubh hota hai
Aankh joh dekhe dhokha khaye ... dil joh andha wohi raah batlaye
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti ... magar usse zalzale aa jaate hai, aasman phat jaate hai, duniya tabaah ho jati hai
Apna paseena boyega toh sona ughayega
Aaise kahi badan hote hai jinka paseena scent se bhi zyada khushbudar hota hai
Apne maathe se paseena poch ... agar tere gande paseene ki ek boond bhi is dharti par gir gayi ... toh is dharti se anaaj ughna band ho jayega
Gareeb ki beti jis pal bhoj ban jaati hai na ... usse rukhsat kar dete hai
Kisi aadmi ki aukaat janane ke liye ... uske jooton par hi ek nazar dalna kaafi hai
Tumne is waqt aaise aadmi ka haath pakad rakha hai ... jiske apne haathon mein sivah lakeeron aur kuch bhi nahi
Jab hamari dharti par raat utarti hai toh paap jaag uthta hai ... insaan shaitan ka roop dharan kar leta hai ... aur lagta hai shayad subah kabhi na ho
Zindagi ki university mein aaj tumhara pehla imtihan hai ... agar pass ho gaye toh degree ki jagah maal hi maal hai ... aur agar fail ho gaye toh inaam mein police ki goliyan ya jail
Abhi aaye, abhi behte, abhi daaman sambhala hai ... tumhari jaun jaun ne hamara dum nikala hai
Aaisa diya aashirwad, ki teri chokri ka ghar ho gaya aabaad ... aur tera sadaa ke liye barbaad
Insaan ki mitti mein dhong mila hua hai ... mitti ko dhong ke pani se hi ghoondkar, maalik ne insaan banaya hai
Makaan ooncha banane se ... insaan ooncha thodi ho jaata hai
Insaan joh nahi hai wohi dikhane ka dhong karta hai ... joh shareef nahi hai woh sharafat ka dhong karta hai ... buzdil bahadur hone ka dhong karta hai ... dil mein lalach hota hai aur zabaan se mohabbat ka dhong karta hai ... aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh zabaan se anjaanepan ka dhong karta hai
Talwar ki ladai talwar se, pyar ki ladai pyar se, aur bekaar ki ladai sarkar se
Taqdeer hi ki baat hai ... kuch logon ko umeed nahi hoti aur unhe khoya hua pyar mil jaata hai ... kuch log umeed lagaye behte hote hai aur unhe pyar milne se pehle hi kho jaata hai
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Agar nazarein khoobsurat ho ... toh har cheez khoobsurat lagti hai
Izzat woh daulat hai ... joh ek baar chali gayi toh phir kabhi haasil nahi ki ja sakti
Na maut aati hai, na tum aati ho ... par Zohra Bai tum bahut achcha gaati ho
1 408 409 410 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..