dialogues for Tag:
Tag:
Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Tum toh un jaali noton se bhi zyada jaali nikle ... joh bazaar mein chalte hai
Jinke paas pyar ki daulat ho ... unhe kabhi gareeb nahi samajhna chahiye
Joh log khudse nahi darte ... yeh samaaj ussi se darta hai
Sukh aur dukh wohi samajh sakta hai jispar beetti hai
Izzat koi patni ko diya hua koi necklace nahi hai, college mein diya hua koi certificate nahi hai, locker mein chupakar rakhi koi jewellery nahi hai ... joh gava dene se chali jaati hai
Khushkismati sirf ek baar darwaza khatkhatati hai ... lekin badkismati tab tak darwaza khatkhatati hai jab tak darwaza khul na jaye
Yeh kyun, kya, kahan ke uljhan mein kyun pade ... bas yeh kya kam hai ki hum sab hai aur saath hai
Kalam ki taqat talwaar se zyada hoti hai
Duniya mein saharon ki sabhi ko zaroorat hoti hai ... kisi ke pyar se badkar duniya mein koi sahara nahi hota
Dard jitna zyada hota hai ... cheenkh utni hi lambi hoti hai
Chhot toh budhape ki hoti hai ... ek baar lag jaye, toh dard marte dam tak hota hai
Insaaniyat is duniya se bas laapata si ho gayi hai
Bimaari ko chupane se rog kam nahi hota ... badh jaata hai
Jeena koi majboori nahi, ek maqsad hai
Harra rang aur bhagwa rang, green and saffron ... Hindustan ke jhande ka ek hi hissa hai ... usse ek hissa hi rehna chahiye ... poora jhanda banne ki koshish nahi karni chahiye
Hamare gehre vishvas ke rishtey mein ... tumne apne dil mein kuch gehre raaz chupaye hai
Achchai se hi burai ko maara ja sakta hai ... neki se hi baddi ko mitaya ja sakta hai ... shanti se hi kisi ki mann ki jalan ko hataya ja sakta hai
Duniya mein shayad hi aise koi maa baap honge joh apni aulaad ko zakhm dena chahenge ... lekin na jaane kitni aisi anginat aulaadein hai ... joh apne maa baap ka seena zakhmon se challi kar dalti hai aur uff tak nahi karti
Syana woh hota hai joh waqt ke rukh ko dekhkar, jhukna seekhe ... aur rukh badalte dekhkar, dushman ko jhukana seekhe
Main tumhari har baat manne ko tayaar hoon, lekin yeh baat manne ko tayaar nahi ki iske charitra pe daag hai
Tum log sab jhoot bol rahe ho ... najane kitne din, kitne mahine, kitne saal jhoot pe jhoot pe jhoot bolte aaye ... aur main chup chap bardaasht karta raha
Tumhare haathon mein woh rekhayein hai, joh mere haathon mein nahi hai ... tumhare maathe pe woh lakeerein hai, joh mere maathe par nahi hai
Bahut waqt ke baad ... yeh waqt aaya hai
Nafrat ko sirf mohabbat se jeeta ja sakta hai ... sirf mohabbat se
Kyun main jeet ke bhi haar gaya ... aur woh haar kar bhi jeet gaya?
Joh izzat, shradha, pyar ek beti de sakti hai ... woh ek beta kabhi nahi de sakta ... lekin main yeh bhool gaya tha ... joh sharmindgi, joh zalalat ek beti de sakti hai ... woh bhi ek beta kabhi nahi deta
Andhere mein insaan pal do pal ke liye tehar toh sakta hai, aaram kar sakta hai ... par zindagi jee nahi sakta
Dil ko rokta hoon toh aankhen bhatak jaati hai ... aankhen band karta hoon toh khwab bhatak jaate hai ... khwabon ko todta hoon toh yeh haath bhatak jaate hai
Yeh pao kilo ka bheja bhi ajeeb cheez hai ... theek ho tab bhi takleef deta hai ... aur agar na theek ho, tab toh aur bhi takleef deta hai
Tumhare aur mere beech hamesha ek foot ka fasla reh jaata hai ... jaanta hai kyun? ... kyun ki tu hamesha ek foot neeche se sochta hai (from the heart) ... aur main ek foot upar se (from the mind)
Yeh aasoon joh hai na, beh jaye toh pani hai ... andhar reh jaye toh zehar hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
