dialogues for Tag: Romance
Tag: Romance
Khushboo tumhari zulfon ki ab tak basi hai saanson mein ... mehak jaati hai rooh meri jab aati ho tum baahon mein
Tune aankhon se joh keh di thi woh baat kaise bhoolunga ... tere sang mein joh guzri thi woh raat kaise bhoolunga
Pyar koi chidiya nahi ... ek hi zindagi mili hai se humein ... aur ee zindagi mein hi milegi
Tumhari awaaz main kaan se nahi ... dil se sunta hoon
Pyar ko wahan nahi dhoondte jahan woh hota nahi hai ... aur jahan woh hota hai wahan chupaya bhi nahi ja sakta
Pyar shaadi nahi hoti aur shaadi pyar nahi hota ... pyar mein insaan andha, behra, goonga aur bewakoof banke reh jaata hai ... aur shaadi mein kaan, aankh, dimaag sab kuch khul jaata hai
Insaan kayi baar shaadi kar sakta hai lekin sacha pyar sirf ek baar hota hai ... aur bade lucky hote hai woh log jinhe junooniyat ka pyar milta hai
Pyar ka matlab hai juaa ... jeet gaye toh pyar ... haar gaye toh afsana
Love is sacrifice, tyaag, qurbaani ... kisi bhi junoon ke liye qurbaan ho jaana, that's love
Ae dil tu kyun rota hai ... yeh duniya hai, yahan aisa hi hota hai ... aankhon se tapke aansun toh unhe chupaya ja sakta hai ... lekin jab dil roye, ae zalim toh kya kijiye
Woh hawa joh tujhe chhuke gayi mujhe chhu jaaye, ek baar ... ek baar teri khushboo mujh mein simat jaaye, ek baar ... ek baar toh apne pallu se sehla ... ek baar toh apne rang phaila ... ek baar phir se deewana bana ... bas ek baar ... ek baar tere aansun meri hatheli mein tham jaaye ... ek baar teri hansi se mera aangan bhar jaaye, ek baar ... ek baar toh apna haath bada ... ek baar toh gale se laga ... chhu loon tujhe bas ek baar toh ho jaaye rab ka deedar, ek baar ... tu hai toh main hoon, tu hai toh hi hai yeh jaan ... ek baar, ek baar, bas ek baar
Pyar hai woh gehrai jise duniya samajh na payi
Jahan pyar hota hai wahan khalish nahi hoti ... aur agar khalish ho toh samjho pyar tha hi nahi
Pyar ek parchai ki tarah hai ... jab tak uski aadat padh jaati hai, shaam ho jaati hai
Har sher mein alfaaz toh hote hai ... par har alfaaz shayari nahi ... pyar toh sab karte hai ... par har pyar junooniyat nahi
Kab kaha maine ke woh mera ho jaye aur main uski ... gair na ho jaye, itni si hasrat hai toh hai
Khud ki beauty se anjaan beauty ... sabse khoobsurat hoti hai
Kitna pyar hai tumse yeh jaan lo ... tum hi zindagi ho meri is baat ko maan lo ... tumhe dene ko mere paas kuch bhi nahi ... bas ek jaan hai, jab jee chahe maang lo
Woh nahi mere paas magar usse mohabbat hai toh hai ... yeh agar rasm-o-riwazon se bagavat hai toh hai
Farishtey hi honge jinka hua ishq muqammal ... insaano ko toh humne sirf barbaad hote dekha hai
Yeh ishq nahi aasaan ... ya toh dooboge ya tairke nikloge
Pyar bhi ajeeb janwar hai ... chabuk taan do, bhookha maar do, zinda gaad do ... par kambakht baaz nahi aata
Khud se azaadi toh sirf maut hi de sakti hai ... ya phir ishq
Khuda ki barkat hai mohabbat ... mohabbat karo toh toot ke, bina khauf ke, bina sharm ke, bina soch ke ... agar jeet gaye toh kya kehna ... haare bhi toh baazi maat nahi
Jis tarah se pyar mein hone ki koi wajah nahi hoti ... us hi tarah se pyar mein na hone ki bhi koi wajah nahi honi chahiye
It takes courage to love someone who doesn't love you
Mamla toh bahut sangeen hai, thodi ahtiyaad baratna ... par ek baat yaad rakhna, dil ka toh kaam hi hai dhadakna
Jab raaton ko taare ginne ka mann kare aur har taare pe mera naam bhunane ko dil kahe ... samajh lena pyar hai ... jab chalte chalte peeche mudne ka mann kare ... beedh mein, anjaane mein aankhen mujhe dhoonde lage ... samajh lena wohi pyar hai ... agar yakeen na ho toh yeh haath thaamkar dekh lo ... dhadkane wahin tham jaaye toh samajh lena yahi pyar hai
Joh mar jaata hai woh pyar nahi kahani hoti hai ... aur hamara pyar koi kahani nahi, itihaas hoga
Jabse tune yeh haath thaama hai, sambhal gaya hoon ... bas ab yeh haath mat chhodna, kisak jaaonga
Aankhen band karoon toh us hi ka chehra ... aankhen kholon toh us hi ka khayal ... raat raat bhar karvatein badalkar jaagta raha ... tabhi toh bana gaya hai tera yeh haal
Jab woh maan gaye gulfaam ... tab subah ho ya shaam ... pyar hi pyar hai apna kaam
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
