Page 6 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Shayari

Tag: Shayari
6 (of 42 pages) | 32 (of 1315 items)
1 5 6 7 42
Jalte hai log na jaane kyun mere junoon se ... arre ek baar toh dekh liya hota mera hunar sukoon se
Har sher mein alfaaz toh hote hai ... par har alfaaz shayari nahi ... pyar toh sab karte hai ... par har pyar junooniyat nahi
Kab kaha maine ke woh mera ho jaye aur main uski ... gair na ho jaye, itni si hasrat hai toh hai
Meri dastaan-e-hasrat woh suna sunake roye ... mujhe aazmane wale mujhe aazmake roye ... main bewatan musafir, mera naam bebasi hai ... mera kaun is jahaan mein joh gale lagakar roye
Kitna pyar hai tumse yeh jaan lo ... tum hi zindagi ho meri is baat ko maan lo ... tumhe dene ko mere paas kuch bhi nahi ... bas ek jaan hai, jab jee chahe maang lo
Woh nahi mere paas magar usse mohabbat hai toh hai ... yeh agar rasm-o-riwazon se bagavat hai toh hai
Farishtey hi honge jinka hua ishq muqammal ... insaano ko toh humne sirf barbaad hote dekha hai
Murkhon ke mohalle mein sayano ka jhopda ... kahan se chalaye is duniya mein samajhdhari ka rokda
Mamla toh bahut sangeen hai, thodi ahtiyaad baratna ... par ek baat yaad rakhna, dil ka toh kaam hi hai dhadakna
Jab woh maan gaye gulfaam ... tab subah ho ya shaam ... pyar hi pyar hai apna kaam
Musafir hai hum aur kitne waqt beete hai ... abhe bhaad mein jaaye duniya, hum tafreeyon mein jeete hai
Aaya tha Dharam Paris aap sabko hasane ke liye ... lekin aisa nanga kiya ek ladki ne usse ... ab toh kache banyan bhi nahi bache vapas jaane ke liye
Agar Musalman ho toh roze rakho, sawab milega ... agar Hindu ho toh navratre rakho, vardaan milega ... agar apne desh ko maante ho toh Anna ke anshan mein aao ... sundar aur sunehra Hindustan milega
by: Unknown
from: Anna (2016)
code:
Koi umeed bar nahi aati, koi soorat nazar nahi aati ... maut ka aana toh ek din mo-ayeeyan hai, neend kyun raat bhar nahi aati
Hasratein Lucknow, basratein Kanpur ... surmayi hai Bareilly, aur kaatilana hai Rampur
Chehre ki khushi, dil ki hassi, sharm-o-haya ... tujhpe vaar aaye hai tere deewane, jaane kya kya
Tu wohi hai joh subah ko office jaata hai aur shaam ko ghar aata hai ... boss ki daant khata hai aur kisi ko nahi batata hai
Chaar kandhe arthi ke, kursi ke chaar paaye ... joh chahiye woh soch lo, kahe durjan Kabirai
Maangan maran saman hai, arre mat koi maango beekh ... maangan se marna bhala, yeh satguru ki seekh
Joh tha jalkar khaak ho gaya, ab sirf ek saaya hoon ... Mr. X naam hai mera, tumhari maut bankar aaya hoon
Ek hawa ka jhonka aaya toota dhaali se phool ... na pavan ki na chaman ki, kis ki hai yeh bhool
Tune jiska naam apni hatheli pe chupaya hai ... zara aake dekh jharokhe pe, woh apni hatheli pe tera chaand leke aaya hai
Hum jism nahi, rooh ko bas mein karne ka shauk rakhte hai ... ujaalon mein nahi, andheron mein savarte hai
Tere is chehre pe main sanam marta hoon ... toot na jaye dil, main sanam darta hoon
by: Unknown
from: Hunterrr (2015)
code:
Yeh ajeeb sa khela hai ... haan aur na ka mela hai ... shakkar ka daana kabhi karela hai ... kabhi Savita, kabhi Sunita, kabhi Bela hai
by: Unknown
from: Hunterrr (2015)
code:
Tum apne baap ko hi khanjar dikha rahe ho kanjar ... ek laafa denge aur zindagi kar denge banjar
Kabhi kabhi Anarkali ko Salim ke bajai Akbar se mohabbat ho jaati hai ... vaise hi kabhi kabhi hone wali biwi, hone wali amma ban jaati hai
Khuli aankhon se dekhta hoon kyun khwaab aaj kal ... uske chehre se kyun hai gulaab aaj kal
Kaun kehta hai qayamat aayegi sab mar jayenge ... hum Bihari hoon pedh pe chad jayenge
Sunehre aksharon mein jayegi aapki kahani rachi ... aur cheer dalenge hum tumhari jaan bachi kuchi
Treta mein chaas mile aur Dvapar mein ghee ... Kalyug mein chai mile so bana banake pee
Agar koi alag tarah jeena chahta hai, toh usse jeene do ... har dil apni hi tarah dhadakta hai, har dil dhadakne do
1 5 6 7 42

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.