dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Mujhe sone chandi se nahi ... un baazuon se pyar hai joh do waqt ki roti toh kama sake ... jinko duniya unki mehnat, unke naam se jaane ... jinki peeth par apne A1 baap ke naam ka stamp nahi hota
Takleef insaan ke andhar bahut kuch badal deti hai
Raaz chahe pati ka ho ya patni ka ... agar usse dono ke beech khol diya jaye toh badapan hota hai ... aur chupaya jaye toh dokha hota hai
Har modh pe mile jaate hai humdard hazaron ... shayad meri basti mein adakaar bahut hai
Duniya mein koi bhoot pret, koi jungli janwar is insaan naam ke janwar se zyada khatarnak nahi hota ... nuksaan toh sirf jeete jaagte insaan hi pahunchate hai
Zakhm maine diye hai marham bhi main hi lagaunga
Duniya bahut choti hai ... yahan koi aaisi jagah nahi, jahan tum mujhse chup sako
Tumhare liye toh main ek sundar shareer se zyada kuch thi hi nahi ... aur ab bhi tumhe mere shareer ke alava kuch aur nahi milega
Upar waale ne tere liye sirf teen manzilein banayi hai ... pehda hone se pehle teri maa ke pet mein ... marne ke baad chitta par ... aur jab tak tu zinda rahegi tu hamari banke rahegi
Paraye ko gale lagana aasan hota hai ... par apnana bahut mushkil
Maine usse kitna yaad kiya ... yeh toh meri yaadash ko bhi yaad nahi
Tann pe jitne kapde hai ... ussi ko main apna kafan maanke chalta hoon
Pareshani aur takleefon se joh door ho, woh hum hai ... jiske sar par aapka haath ho, usse kya gham hai
Aasoon kamzor logon ke zevar hote hai
Is duniya mein har insaan ko khud ladna padta hai ... khud haarna aur khud hi jeetna padta hai
Joh chala gaya usse bhool ja ... joh aa raha hai usse pyar kar
Kal shyam aur thi, aaj shyam aur hai ... kal thikaane aur the, aaj manzil aur hai
Aadmi zabaan se kuch kehta hai ... dimaag se kuch aur sochta hai ... aur dil kuch aur hi chahta hai
Joh maachis teeli ki aag mein haath jala behette hai ... unhe suraj ki aag se hookah nahi sulghana chahiye
Choro se maal bachane ke liye dukaan ko taala lagaya ja sakta hai ... lekin dokhebaazo se bachna bahut hi mushkil hai
Bhagwan sansar mein har jagah har ghadi nahi reh sakta ... is liye usne apne badle ghar ghar mein maa ko pehda kiya hai
Bachchon mein zid achchi lagti hai, auraton mein shaandar lagti hai, badshahon mein bereham lagti hai ... magar iski yeh zid kaisi hai reh?
Dard itna meetha bhi ho sakta hai ... yeh aaj pata chala
Halaat insaan ko shaitaan bana deta hai ... magar devta nahi
Bhayanak sapno ko bhool jaana ... achchi baat nahi
Mard ki zillat aurat ke balatkaar se zyada sharamnak hoti hai
Udaasi ka sirf ek sur hota hai, jisse pakadkar main jeeti rahi hoon ... aur gusse ka bhi ek hi sur hota hai, jisse pakadkar tum jee rahe ho ... magar zindagi mein saat sur hote hai ... kya hum in saaton suron ko pakadkar nahi chal sakte
Jin logon ki zindagi ka koi maqsad hota hai ... unhe aurat ki duniya se door rehna chahiye
Main jab bhi koi khel khelta hoon ... hamesha uska ek patta bahar chhodkar aata hoon
Kuch log purani baatein bhulane ke liye peete hai ... toh kuch log purani yaadein taaza karne ke liye
Yeh zindagi tera karz hai mujhpar ... jab chahe hisaab chuka lena
Jahan par dus log kaam karenga ... wahan pe ek na ek gaddar to zaroor niklenga
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
