Page 88 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Drama

Tag: Drama
88 (of 109 pages) | 32 (of 3466 items)
1 87 88 89 109
Woh aadmi jis raaste se chalta hai ... usse saanp bhi chhodkar hat jaata hai
by: Rekha
from: Jaal (1986)
code:
Kabhi kabhi sainkro saal ek pal ke aage haar jaate hain
by: Rekha
from: Jaal (1986)
code:
Jab aulaad dushman ban jaye ... toh maa baap ko atmahatya kar leni chahiye
Jiski zaroorat ussoolon se badi hoti hai ... woh na nahin bol sakta
Aankh se kajal wohi nikaal sakta hai ... joh aankhon mein basa ho
Aaj ke zamaane mein andhere ke saath saath shaitan sadak par utar aata hai
by: Govinda
from: Ilzaam (1986)
code:
Sagai ke din ladka na aaye toh ek baap ke dil par kya guzarti hai ... yeh sirf ek ladki ka baap hi janta hai
Bhookha rehkar aadmi ek baar marta hai ... lekin udhaar ki roti khakar baar baar marta hai ... hazaar baar marta hai
Badhon ke mooh se nikli hui gaaliyan ... choton ko dua bankar lagti hai ... joh badhon ki daant kha leta hai ... woh zindagi ki thokarein nahi khata
Aankhon se ojhal hone ka dukh toh aadmi sehan kar sakta hai ... kyun ki us mein jeevan ki ek dhara behti rehti hai ... lekin jeevan jab mrityu ka roop dharan kar leta hai ... toh sari ashaon ka anth ho jaata hai
Jiske mann mein vasna ho ... woh har kisi ko vasna ke adhin samajhta hai
Gyan aur agyan mein antar hi kya hai ... kewal ek akshar ka ... lekin arth mein satyug aur kalyug ka sa bedh hai
Sharifon ko lootna baimaani hoti hai ... aur baimaanon ko lootna chalaaki
Pehli galati maaf kar deta hoon ... doosri bardaash nahi karta
Aaj kal joh jitni zyada namak khata hai ... utni hi zyada namak haraami karta hai
Asli sazaa toh woh hoti hai ... joh gunahgar zindagi bhar bhugatta rahe
by: Unknown
from: Ankush (1986)
code:
Rayees ho jaane se koi sharif nahin ho jaata
Main chaal chalta nahin ... chaalein pakadta hoon
Aap aadmi bhale baade hain ... lekin insaan bahut chote hain
Agar tumhare jaise dost is duniya mein hue ... toh kya zaroorat hai dushmano ki
Bikke huye logon ki zindagi aur maut ... khareedne waalon ke haathon mein hoti hai
Zindagi mein Allah aur maa ke baad is roti ko izzat di hai ... isse main zameen par girakar beizzat nahi hone doonga
Zeherilay saanp zyada din zinda nahi rehte ... ek na ek din kisi ki laathi uska sar kuchalkar rakh deti hai
Is shareer par vaasna ke itne daag hai ... ki yeh behta khoon bhi inhe dhoh nahi sakta
Pathan ka lafz aur mayaan se nikla talwar ... kabhi vapas nahi jaati
Pet ki bhook mitana mere liye zaroori nahi hai ... zaroori hai dil ki pyas bujhana
Apne jeevan ka andhera mittane ke liye maine tujhe diya jalane ke liye kaha tha ... tune toh mujhi ko jalakar apne jeevan mein ujala kar liya
Bahar khade rehkar tamasha dekhne waala sirf vedant jhaad sakta hai ... kisi ke andhar ki peedha nahi samajh sakta
Dushmano ko maaf karna insaaniyat hai ... lekin makkaron ko maaf karna bewakoofi hai
Joh kaam rishwat se na ho ... daan punya se ho jaata hai
Jab doosra koi kaam kar raha ho toh beech mein dhakal dena badtameezi hoti hai
Duniya mein joh aadmi jitna zyada chanda deta hai ... log usse utna hi sharif aur imaandar samajhte hai
1 87 88 89 109

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.