dialogues for Tag: Shayari
Tag: Shayari
Maana ki daulat mein bahut taqat hoti hai ... magar paisa hi sab kuch nahi hota ... maana ki tumne zameer khareede honge bahut ... magar har imaan bikau nahi hota
Upar wale ka karm aur duaon ka saaya jiske saath hai ... koi khatra kya bhigadega us bete ka, jis bete ke sar pe maa ka haath hai
Dushman chahe jitna khatarnak kyun na ho ... Ravikumar jaisa dhurandar ho nahi sakta ... talaab chahe jitna gehra kyun na ho ... woh kabhi samundar ho nahi sakta
Duniya mein mil jayenge aashiq kayi ... par watan se haseen sanam nahi hota ... heeron mein simatkar, sone se lipatkar marte hai kayi ... par tirange se khoobsurat kafan nahi hota
Kab tak chupegi kairi patton ki aad mein ... kabhi na kabhi toh aayegi Bhendi Bazaar mein
Kal kare so aaj kar ... aaj kare so ab ... pal mein pralay hogi ... bahuri karoge kab
Jalte khwaabon ki lapton se ek diya jalana hai ... ek zakhm hi khakar mujhko ek zakhm bhulana hai ... saath nibhana pad jaye itna koi majboor nahi hai ... khol diya dil ka darwaza, jaao jisko jana hai
Kar dena mere naam ka gaaliyon mein shumaar ... gar in aankhon ke vaade se mukar jaun
Ek pal ko bhi mehfil mein tera deedar na hua ... tujhe takne walon se nazar hat'ti nahi
Hum na kisi maa ke ladle hai, na kisi ke baap ke naukar ... apni marzi se kaam karte hai, apni keemat par
Jiski raksha ke liye joh chaal badal de kaal ka ... koi uska kya bhigade joh bhakht ho Mahakaal ka
Jiska koi nahi hota uska yorker hota hai ... iske samne malik bhi naukar hota hai
Kabootar gaya bar mein whiskey peeke leta ... tu agar apni maa ko yahan se leke gaya toh bahut pitega beta
Hum dil mein aag aur chehre par gulaab rakhte hai ... mitakar aapke mardon ki bhookh hum un auraton ka rubaab rakhte hai
Jab koi rasta nazar na aaye hum umeed ki taraf mudhte hai ... ek suraj doobta hai toh lakhon chirag bhi toh jal uthte hai
Aurat ki joh izzat na kare woh har mard murga hai ... joh nau mahine kok mein paale woh Mariam hai, woh Durga hai
Dost harami ho toh aata hai maza ... aur premi harami ho toh jeevan ban jaye saza
Phool hai gobi ka, sabzi mat samajhna ... pyar hai bhanware ka, humdardi mat samajhna
Main shaadi shuda hoon ... par kismat ki maari hoon ... magar apne baap ki janni nahi joh jhooth bolun ... main aaj bhi tumhari hoon
Joh khoya hai woh ek khwaab hai ... aur joh paaya hai woh lajawab hai
Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rehne ke liye ... kuch hunar chahiye bazaar mein rehne ke liye ... badnaami se shohrat ka woh rishta hai ke log ... nange ho jaate hai akhbaar mein rehne ke liye
Mehfil mein jalate hai diya doosre log ... lete hai ujalon ka maza doosre log ... mujrim kabhi pakde nahi jaate ... lekin paate hai adalat se saza doosre log
Ya khuda teri adalat mein meri ek zamanat rakhna ... main rahoon ya na rahoon, mere Hindustan ko salamat rakhna
Hai liye hathyar dushman taak mein baitha udhar ... aur hum taiyaar hai seena liye apna idhar ... khoon se khelenge Holi, ghar watan mushkil mein hai ... sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Tareef kya karoon main aapki, words nahi milte ... itne kam budget mein aise honhar balak nahi milte
Jahan dekho ishq ke bimaar baithe hai ... lakhon mar gaye, saikadon taiyaar baithe hai
Kuch log joh sochte hai usse paate hai ... aur kuch aise loser hote hai joh sirf apna waqt ganwate hai
Arre made in China Mastani ... teri masti main nikalta hoon ... dikha na paaye face kisi ko ... teri naak abhi main kaat'ta hoon
Hey sundar nar, main teri deewani hoon ... tu mera Bajirao, main teri Mastani hoon
Joh kehne ko aaya tha ... ankahi hi reh gayi woh baat ... sab baaton ke baat
Mera waqt kuch yoon guzra iPhone ki delivery ke intezar mein ... ki karte rahe courier wale ke call ka wait, purane phone phek ke kabaad mein
Keh rahi hai nazdeekiyan faasle hai ab bhi darmiyan ... teri mohabbat mein awara hua hai dil, dhoond raha hai teri galiyan
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
