dialogues for Tag:
Tag:
Jeene ka maqsad jab badla hota hai ... toh badla le lene ke baad jeene ka maqsad khatam ho jaata hai
Jab badle ki baat aati hai ... toh Dubai return Rana jail se bhi return aa sakta hai
Jis din main baap ban gaya na ... main apne bachche se chun chun ke gin gin ke badle loonga
Ab tak joh kuch unhone mere saath kiya maine socha nahi tha ... aur ab joh main unke saath karoonga woh unhone nahi socha hoga
Inteqam bhi ajeeb funda hai, sharaab ki tarah ... jitna purana utni hi zyada kick deta hai
Vaar woh hai jis mein awaaz na ho
I've loved you like crazy ... now I am going to hate you like crazy
Main ab tak jee raha tha apne bhai ke liye ... aur ab jee raha hoon uski maut ka badla lene ke liye
Mann mein badle ki bhavna lekar insaan jeeta nahi hai ... mar jaata hai
Aankh ke badle aankh, haath ke badle haath aur dokhe ke badle murda
Jab tak meri saansein chalengi ... mera inteqam zinda rahega
Kasam khakar aagaya hai inteqam ka yeh angaraa ... bajaonga aaj teri maut ka nakaraa
Main inteqam ka ek aaisa dahekta hua koyla hoon ... jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai ... aur is jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge
Ab tak meri zubaan tujhse sawaal pooch rahi thi ... lekin ab jawaab degi teri zubaan aur sawaal karega hamara inteqam
Badle ke aag mein jalti hui naari aur chot khai hui nagin ... dono ek samaan hoti hai
Badla jitna itminan se liya jaaye ... utna hi uska mazaa badh jaata hai
Main unse aaisa bayanak badla loonga ... ki doosri bar janam lete hue unki maa ki kook tadhtada jayegi ... unki zindagi ka ek ek din barbaadi ka din bana doonga
Doodh agar sookh bhi jaye toh koi marta hai kya ... lekin bade bhai ke khoon ke baad agar chote bhai ka khoon sookh jaye ... toh yeh maut se bhi bhattar hai
Pyar ka badla pyar aur dosti ka badla dosti ... yeh mera usool hai
Jis shareer mein barso se nafrat aur inteqam ka barood sulagh raha hai ... usse choone ki bhi koshish mat karna ... cheetre udh jayenge tum sab logon ke
Bade se bade zaalimon ke zulm se bada hota hai ... ek gareeb ka inteqam
Jab khoon tapakta hai toh jamm jaata hai ... apna nishaan chhod jaata hai ... aur phir cheek cheekar pukarta hai ki mera inteqam lo, mera inteqam lo
Mohabbat husn nahi dekhta aur inteqam umar nahi dekhta
Tumne mere bhai ke jism se jitne khoon ke katre bahaye hai ... main tumhare jism ko cheerkar utne hi hisson mein baant doonga
Tu utne din hi zinda hai jitne din tak main jail mein hoon ... meri azaadi ka pehla din teri zindagi ka aakhri din hoga
Meri maa ka ek ek aasoon teri chitta ka angaar banega ... aur teri sau sau cheekhen mere pita ki ek ek cheekh ka muhafaza degi
Mere bete ki aankh se jitne aasoon bahenge ... mere andhar utna hi boond boond barood bharega
Inteqam bhi ek tarah ka insaaf hi hota hai ... joh saboot ka mohtaj nahi hota
Inteqam ka josh farz aur sachai ka sar kabhi nahi jhuka sakta
Aankh ke badle aankh, haath ke badle haath, jaan ke badle jaan ... aur bhai ke badle behen
Badle ki aag woh pyas hai joh kisi doosre ke peene se nahi bhujti ... aur toofan ko kisi aur sahare ki zaroorat nahi padhti
Insaaniyat inteqam nahi ... insaaf chahti hai, aman chahti hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
