dialogues for Tag: Royal
Tag: Royal
Aye khaak nasheeno uth baitho, woh waqt kareeb aa pahuncha hai ... jab takht giraye jayenge, jab taj uchaale jayenge
Shahenshah hokar bhi tu shahenshah nahi ... insaan hokar bhi tu insaan nahi
Talwar ke zor par takht cheenne waale ko ... baaghi kaha ja sakta hai, shahenshah nahi
Aao doston tumhe sunao ek aaisi kahani ... joh karde anhoni ko honi ... jis mein raja ko milti hai rani ... aur budhe ko apni jawani
Raja ki ek rani thi, yeh kahani toh suni thi ... deewane ki ek deewani hai, yeh aaj ki kahani hai
Jab jab hota hai zulmon ka haadsa ... tab tab janam leta hai Lal Baadshah
Na takht hai na taj hai, dilon pe jiska raj hai ... zameen pe jiske paon, aasman pe nigah hai ... yeh sabka ladla hai, yeh Lal Baadshah hai
Tumhari baadshah banne ki khwaish hai aaisi albeli ... jaise raja bhoj banne koi gangu teli
Shandaar jagahon par jaana aur jaandaar logon se dosti karna ... mera shaunk hai
Badshah ke paas badshah nahi aayega toh kya ghulam aayega
Yeh ghulami ka patta gale se nikaal kar phek do ... aur Hindustan ke badshahat ka taj peheno
Maharaja woh nahi hota jiske sar par taj aur pairon ke neeche makhmal ho ... maharaja woh hota hai jiske dil mein apno ke liye pyar aur baazuon mein unki raksha karne ki taqat ho
Tum kya apne aap ko Mughal-e-Azam, hum log ko Anarkali samajhta hai be ... kitna nacha raha hai?
Jitni tumhari saal bhar ki kamai hai ... utne rupaiy ke surf aur sabun se ... meri haveli ke farsh dhoye jaate hai
Sar ka taj tedha ho ... toh rani, rani nahin kaani lagti hai
Abhe oh ujhdi hui riyasat ke lutte huye sultan
Ravan bola main bada main bada main bada ... Navagraha mere singhasan ke neeche pada ... bakht bola tu kaika bada ... tu toh che mahina Bali ki kankh mein pada
Ekka bhale hi sabse bada ho ... magar rani hamesha raja ki hoti hai
Hamari sultanat ki sadak ... insaaniyat ki dehleez se shuru hokar, reham aur imaandari ke ilaake se guzarti hui ... dil ke darwaaze par khatam hoti hai
Bread ka baadshah aur omelet ka raja ... Bajaj ... hamara Bajaj
I am a king without a kingdom
Padhoge likhoge toh hoge kharab ... kheloge koodoge toh banoge nawab
Main fauladi shaitan ki madad se sultan toh kya ... sari duniya par fateh hasil kar sakta hoon ... shaitan zindabad, shaitan zindabad
Shahenshah jahan khade ho jaate hai ... wahin darbar lag jaate hai
Jinki ragon mein Rajputi khoon hota hai ... unke jism par dushman ke diye hue ghaav toh hote hai ... lekin unki talwar kafan ki tarah kori nahi hoti
Badshahon ka andaza bahut kam galat hota hai ... aur jab galat hota hai toh woh badshah nahi rehte
Rajput apni baat rakhne ke liye mushkil hi nahi ... namumkin cheezen karne ke liye mashoor hai
Ek hi saf mein khade ho gaye mahmood-o-ayaz ... na koi banda raha aur na koi banda-nawaz
Baaghi kamzor ho toh usse phansi ka takhta milta hai aur taqatwar ho toh takht milta hai
Raja ki puja sirf uske desh mein hoti hai ... aur vidhvan ki puja puri duniya mein hoti hai
Shahi talwarein mohabbat ki gardan par chalti rahi hai ... lekin mohabbat ka naam hamesha roshan hota raha hai
Taj un saron par nahin rehta jinke kareeb khauf aa jaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
