Page 20 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Romance

Tag: Romance
20 (of 51 pages) | 32 (of 1626 items)
1 19 20 21 51
Main tumhara hoon aur hamesha rahoonga ... tum na meri thi aur na kabhi hogi
Dil ke maamle mein dimaag ka istemaal nahi karna chahiye ... uljane badh jaati hai ... dil ke mamle mein dil ka istemaal karna chahiye
Mere liye zindagi mein na pyar ki jagah badal sakti hai na dosti ki ... dono ki jagah alag alag hai ... lekin tumne to dosti mein hi pyar ki milavat shuru kar di
Yeh kambakht mohabbat hai hi badi musibat waali cheez ... aksar imtehaan leti hai ... lekin khushiyan bhi deti hai
Pyar mein waqt ki koi seema nahi hoti
Yeh sach hai ki jagah ki dooriyan ... aksar dilon ki nazdikiyan ban jaati hai
Dil ki aawaz kaano se nahi dil se suni jaati hai
Bina dekhe, bina soche samjhe maine tujhe pyar kiya ... aur tune mere armaanon par dokhe ka vaar kiya
I love you ... do you love me? ... haan bolti toh you ... varna bahut hai in the queue
Waise toh pyar mein aadmi ki chutti ho jaati hai ... lekin mujhe chutti ke din pyar ho gaya
Pyar hai toh jhagda hai, jhagda hai toh pyar hai ... aur jhagda hi pyar ko aur tagda karta hai
Koi bhi ladki apna pehla pyar kabhi nahi bhool sakti
Hamari is rangeen duniya mein jab aap hamari mallika hongi ... zindagi jaise jannat mein basar hogi
Mohabbat karne waale aur mohabbat ka saath dene waale ... kabhi nahi marte
Bas ek nigah se ab har nazar tumhari hai ... meri har raah bewaqt rahguzar tumhari hai ... mera har din tumhare naam pe jeeyega sanam ... meri har shyam, meri har subah tumhari hai
Mohabbat junoon hai ... na jagah dekhti hai, na waqt ... yeh toh bas deedar chahti hai
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Allah ke noor se chalka hai chehra ... yeh kaisi bandagi banta hai chehra ... joh kal tak ajnabi anjaan sa tha ... hamari zindagi banta hai chehra
Main seedhe sadhe dhang se kehta hoon apni baat ... ek ghar basana chahta hoon main tumhare saath ... kya dogi mere haathon mein bolo tum apna haath
Samaaj, mazhab, sab apni jagah hai ... lekin pyar sabse upar hai
Kya farak padta hai Daler ho ya Udhas ... show ka mazaa aayega jab aap ho hamare paas
Main perfect nahi hoon, tum perfect nahi ho aur zindagi kabhi perfect nahi hogi ... par tum mere liye hamesha perfect hogi
Phirta raha main desh desh, mann mein usse basaye ... uske ird-gird jeevan ke lamhe mittaye, banaye
I want to be a part of every part of your life
Mere Sohni Mahiwal ki love story ke andar interval toh ho sakta hai ... lekin the end kabhi nahi hona chahiye
Shaadi shuda zindagi mein pyar ki daal agar thandi padh jaye ... toh us mein romance ka tadka lagake fresh kar dena chahiye
Pyar ek bhavna hai jisse tola nahi jaa sakta
Pyar mein itni taqat hai ki duniya bhar ka paisa bhi uske samne gareeb hai
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Bichadna nahi asaan, isliye goodbye na tum kehna ... jaana toh hai humse door sahi, par hai toh issi dil mein rehna"
Tum mera time pass banogi ... lifetime ke liye?
Zindagi mein pyar khone se aur pyar paane se badkar hai ... pyar karna
Hum tanhaiyon se nahi, mehfilon se darte hai ... hum zamane se nahi, apne aap se darte hai ... yun toh bahut kuch khoya hai humne, na jaane kyun aapko khone se darte hai
1 19 20 21 51

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.