Page 21 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Inspiration

Tag: Inspiration
21 (of 33 pages) | 32 (of 1027 items)
1 20 21 22 33
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Shakti joh hai woh police, fauj, hathyaron mein nahi hoti ... desh ki shakti uske rajnaitik dhanche mein hoti hai, uski economy mein hoti hai, uski nyay pranali mein hoti hai ... samaaji barabari aur mazhabi bhai-chare mein hoti hai ... aur yeh sab kuch hum mein hamara samvidhaan hum mein deta hai
Agar hum mein himmat hai, agar hum mein hausla hai ... toh dushman hamara kuch nahi bhigaad sakta ... jism tootte, lekin hausla na tootte
Kya sametega hum mein yeh waqt ka gehra dariya, hum kinaro se ubharne ka hunar jaante hai ... seedhe haatho ne joh kheenchi hai lakeerein tedhi, un lakeeron par chalne ka hunar jaante hai
Ateet hamare bas mein nahi hota hai ... na hi bhavishya hamare kabze mein hota hai ... toh uske baare mein soch ke kya fayda? ... sirf ek cheez par hamara control hota hai ... woh hai aaj, yeh pal joh hamara hai
Pyar baantoge pyar milega ... nafrat baantoge nafrat milegi
Tu khelta hoga toofano se, humne toh toofan paale hai ... joh darte hai so marte hai, hum markar jeene waale hai
Insaaniyat ka mazhab har mazhab se ooncha hota hai
Insaan ki haar mein hi sabse badi jeet chupi hoti hai
Jab hum budhe hone lagte hai toh hamari aankhen kamzor ho jaati hai ... lekin hamare dil ko pehle se zyada saaf nazar aata hai
Common man hona aur jeena ... koi short term course nahi hai
Agar koi masla hal kiya ja sakta hai toh fikar karne ki zaroorat nahi ... agar hal nahi kiya ja sakta toh fikar karne se kya hoga
by: Unknown
from: Paap (2003)
code:
Aye Mamu ... jadoo ki jhappi de daal aur baat khatam
Life mein jab time kam rehta hai na ... double jeene ka, double
Some goals are so worthy ... it's glorious even to fail
Dost mar sakta hai ... lekin dosti nahi
Computer ne insaan ko nahi banaya hai ... insaan ne computer ko banaya hai ... is liye joh dimaag kar sakta hai, woh aapka computer nahi kar sakta hai
Zindagi aaise jiyo joh khud ko achchi lage
by: Ajay Jadeja
from: Khel (2003)
code:
Business mein oonchai kaminepan se nahi ... commitment poora karne se milti hai
by: Sunil Shetty
from: Khel (2003)
code:
Tumhare paas joh hai tumhare hisaab se kam hai ... lekin kisi doosre ke nazar se dekho ... toh tumhare paas bahut kuch hai
Samaaj ko police waisi hi milti hai jaisa ki samaaj khud hota hai
Har thokar ko aage badne ki seedi banani chahiye ... iraade aur mazboot ho jaate hai ... na milne waali cheez bhi mil jaati hai
Shikayat karne se problem ka solution nahi milta hai
Life mein paise kamane ke alava kuch daan punya ka bhi kaam kiya karo ... aatma ke liye acha hota hai
Soora so pehchaniye, joh lade deen ke heth ... purja purja kat mare, kabu na chhode khet
Ek baap agar apne bete ki zindagi ka pehla kadam uthane mein uski madad kar sakta hai ... toh wahi beta apne baap ke aakhri kadam uthane mein usse sahara kyun nahi de sakta?
Zindagi peeche dekhne ka naam nahi hai ... aage chalne ka naam hai
by: Unknown
from: Armaan (2003)
code:
Aasoon peeke bhi joh muskuraye ... wohi toh zamane ko jeet paye
Garam se garam kaam karte waqt, dil aur dimag ko thanda rakha karo
Shareer qaid kiya jaa sakta hai ... vichaar nahi
Dushman aadmi ko maar sakta hai ... uske adharshon ko nahi
Khoon bahana koi badi baat nahi hai ... chahe woh apna ho yah samne waale ka ... badi baat toh yeh hai ki jism se tapka hua ek boond khoon, aane waali nasal ke saare ke saare khoon mein ubaala la sakta hai yah nahi
1 20 21 22 33

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.