dialogues for Tag: Shayari
Tag: Shayari
Har modh pe mile jaate hai humdard hazaron ... shayad meri basti mein adakaar bahut hai
Tumhare pyar mein dil bekarar kab se hai ... ab aa bhi jaao, mujhe intezar kab se hai
Kab se tadap raha tha deedar ke liye ... aankhen taras gayi apne yaar ke liye
Ghalib na mara tha, na mara hai, na marega ... kyun ki aashiq ka bachcha na sudhra hai, na sudhrega
Pareshani aur takleefon se joh door ho, woh hum hai ... jiske sar par aapka haath ho, usse kya gham hai
Bhaage hamare dushman meri jaan, hum mein rukna hoga ... hamari mohabbat ke aage, in kamino ko jhukna hoga
Mohabbat aur jurrat kya cheez hai, yeh tu kya janega kasai ... yeh deewana bankar rahega, tumhara permanent jamai
Kal shyam aur thi, aaj shyam aur hai ... kal thikaane aur the, aaj manzil aur hai
Kuch reet jagat ki aaisi hai ... har ek subah ki shyam hui ... tu cheez hai kya, tera naam hai kya ... Rekha, Hema tak yahan badnaam hui
Tum gaye kya jag hua andha kuaan ... rail chhuti reh gaya keval dhuaan
Main dadaon ka dada hoon aur gundo ka gunda hoon ... yeh sansar meri dharti aur main iska jhanda hoon
Aadhi raat ko bulana, subah tak zaroor aaonga yeh meri arz hai ... shehar mein shanti aur nagriko ki seva karna mera farz hai
Shehar mein shanti aur nagriko ki hifasat karna mera farz hai ... yahi meri duty aur yahi mujhpar meri vardi ka karz hai
Na surat, na huliya, na shakal ... aur ladki ko kehta hai pyar karne bahar chal
Yeh na samajhna ki samne koi murdaar khada hai ... kehte hai jisse Chauhan yeh tumhara baap khada hai
Duty nibhate hai hum issi liye hum hum hai, varna haramkhor kehlate ... rishvat khate mujrimon se aur rishvatkhor kehlate
Watan pe mitne waalon ki yun khatam nahi hoti kahaniyan ... hum mein toh phir bhi yaad rakhegi duniya, nahi rahengi tumhari nishaaniyan
Yahan tel bhi hai, adalaton mein bail bhi hai ... Kashmir aur Taj Mahal ke saath, suna hai Tihar jail bhi hai
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Milne se kahan milta hai ek baar aadmi ... har aadmi mein hote hai do char aadmi
Jiski aaghaaz aag se hoti hai ... uski inteha khaak se hoti hai
Mera jaam rahe meri shaam rahe ... mere pehlu mein meri jaan rahe
Shehar jalta hai toh jalne do, yeh aag humne hi lagai hai ... log marte hai toh marne do, yeh apni khudai hai
Baarish ki chand boondein padhi toh, machi is tarah dhoom ... sabi jawan dil, sabi haseen dil gaye nashe mein jhoom
Apni hi karni ka phal hai naiki aur ruswaiyan ... aap hi ke sang chalengi aap ki parchaiyan
Kaise kaise aaise vaise ho gaye, aaise vaise kaise kaise ho gaye ... kal joh the chamche hamare, aaj woh leader ho gaye
Koi kabil ho toh hum shaan-e-watan dete hai ... dhoondne waalon ko duniya bhi nayi dete hai
Tum nahi ho toh khum aur sagar-o-meena kya hai ... rasam-e-maikhana nibha lete hai peena kya hai ... hum barasti hui boondon mein jale hai barso ... humse pooche koi savan ka mahina kya hai
Ishq karna toh lagta hai jaise maut se bhi badi ek saza hai ... kya kisi se shikayat kare hum, jab apni taqdeer hi bewafa hai
Waise zinda rehne ka mujhe bhi koi shauk nahi ... aakhri safar tumhare saath hi sahi
Mere lahoo ko bana diya hai teri dua ne ab toh aag ... apna doodh na bakshna tu, joh na laya tera suhaag
Sab kuch khuda se maang liya tujhko maangkar ... uthte nahi hai haath mere is dua ke baad
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
