dialogues for Tag: Life
Tag: Life
Duniya ki nazar mein mare hue log kabhi zinda nahi hote ... varna zindagi khud pareshaan ho jaati hai
Zindagi toh dhoop chaon ki tarah hoti hai ... is mein agar bure log hai, toh achche log bhi hote hai
Tujhe imaandari ki khujli lag gayi hai ... zindagi bhar khujate khujate mar jayega ... lekin haath tere kuch nahi aayega
Main zindagi mein bahut kam faisle karta hoon ... lekin ek baar faisla kar loon toh woh pahaad se bhi zyada atal hota hai
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Tu utne din hi zinda hai jitne din tak main jail mein hoon ... meri azaadi ka pehla din teri zindagi ka aakhri din hoga
Aan ke samne jaan ki keemat kuch bhi nahi
Zindagi complications ka combination hai
Maut ke badhte hue saaye ko zindagi rok nahi sakti ... aur zindagi ke badhte hue kaaravan ko maut rok nahi sakti
Zindagi mein agar jeena zaroori hai ... toh peena bahut zaroori hai
Aaj maut ka vyapaari ... zindagi ka chaukidaar ban gaya
Maut se kya darna, usse toh aana hai ... do din ki hai zindagi, hum mein apna farz nibhana hai
Aadmi koi patthar nahi hai ki ek baar jaisa ban gaya, zindagi bhar waisa hi bana rahega
Joh ilzaam kisi ki zindagi tabah kar sakte hai ... woh ilzaam sirf saboot ke saath hi lagane chahiye
Farz ko nibhate huye jeena hi hamare jeevan ka karz hai
Jis din nazar aaoge na ... us din tumhari zindagi ko sametkar maut ki chaadar mein lapet doonga
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Jeete aur marte toh janwar bhi hai ... magar insaan woh jiski zindagi ka koi maqsad ho ... aur marna woh joh kisi ke kaam aaye
Isse toh aaise zakhm do joh kabhi na bhare ... aur yeh zindagi bhar apni hi laash ko apne kandhon par uthaye tadpata rahe
Kehte hai sapne mein kisi ko mara hua dekho ... toh uski umar badh jaati hai
Joh bhi Thakur ko intezaar karne ko kehta hai ... woh uski zindagi ki ghadi bandh kar deta hai
Agar Lawrence aur Peter ko gussa aa gaya ... toh tumhara zindagi maut se baatein karne lagega
Main akela hi chala tha apni manzil ki taraf ... log saath aate gaye aur karavan banta gaya ... khoon-e-dil se humne likhi gham ki yoon dastan ... zindagi ka shandar ek gulsitan banta gaya
Jab aulad ki zindagi ka sawaal ho ... toh maa din aur raat nahi dekhti
Kroadh woh zehareela saanp hai joh dasta zaroor kisi doosre ko hai ... lekin zehar khud ki zindagi mein ghol deta hai
Jurm ki zindagi ek aaisa dhagaa hai ... jis mein agar ek baar aadmi uljha toh bas ulajhta hi jaata hai
Joh zindagi mujhse takrati hai ... woh sisak-sisakar dum todhti hai
Zindagi mein kabhi izzat mat khona
Zindagi ka doosra naam pyar hai ... pyar ka naam tum ho ... tum meri zindagi ka pehla pyar ho
Ek aurat ke liye uske pati ke pyar ke bina duniya ki tamaam daulat, saare sukh ke samaan ... us bejaan kagaz ke phool ki tarah hote hai ... jin mein banavati rang toh hote hai lekin zindagi ki khushboo nahi hoti
Apna ussool kehta hai ... jab dushman ki umar badh jaaye toh usse dosti karlo ... apni umar badh jaati hai
Bahar ki duniya mein kadam rakhte hi tumko pata chal jayega ... ki zindagi kis berehami se mushkilon ka samna karati hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
