Dialogues from Movies for Parties
Oonchai par rehne waale ko har waqt sar jhukakar baat karni padti hai ... aur neeche waale hamesha sar uthakar baat karte hai
Agar tum mere aur meri duty ke beech aaye ... toh main tumhare aur tumhari saanson ke beech aa jaonga
Ghar ka doodh chahe jitna shudh ho ... baazar ki chai peene ka kuch mazaa hi aur hota hai
Duniya mein sab kuch mil jaye, sab kuch ... lekin maa nahi mili, toh samjho kuch nahi mila
Pyar jab hadh se guzar jaye toh pooja ban jata hai ... aur pooja bahek jaye toh junoon
Uski yaad ek amanat hai ... ek bahut hi haseen, bahut hi pyari, bahut hi keemti amanat hai
Mohabbat na ho toh aadmi saans toh zaroor leta hai ... magar zinda nahi rehta hai
Pardes mein agar apne saath ho na ... toh desh ban jaata hai ... varna desh bhi pardes lagta hai
Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai ... joh saans pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai
Naam loonga toh woh badnaam ho jayegi
Sachchi mohabbat ko pechaanne ke liye aankhon ki nahi ... dil ki zaroorat hoti hai
I love you KKKKK ... Kiran
Duniya ki har adaalat se badi ek adaalat hai ... woh hai insaan ka apna zameer
Kabhi kabhi barso saath rehne ke baad bhi koi rishta nahi banta, koi pehchaan nahi banti ... aur kabhi kabhi ek hi mulaqat mein aaisa lagta hai, jaise ki barso se jaante ho
Yeh adaalat hai, koi mandir ya dargah nahi jahan mannatein aur muraadein poori hoti hai ... yahan dhoop batti aur narayal nahi ... balki thos saboot aur gawah pesh kiye jaate hai
Aaisi nass dabaonga ki cheenk nikal jayegi
Sach bolne se kabhi kisi ka nuksaan nahi hua hai ... aur na hi ho sakta hai
Pyar toh woh vardaan hai ... joh kismat waalo ko milta hai
Jee karta hai ... tumhari har khwaish, har ichcha ko apna maqsad bana loon
Bijli ka woh jhatka lagega ... ki tu jhatakna bhool jayega
Chilaao mat ... nahi toh yeh case yahin rafaa dafaa kar doonga ... na tarikh na sunwai, seedha insaaf woh bhi tabartop
Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
Maidan mein khule sher ka samna karoge ... tumhare mard hone ki galatphami door ho jayegi
Aaise khilone bazaar mein bahut bikte hai ... magar isse khelne ke liye joh jigar chahiye na ... woh duniya ke kisi bazaar mein nahi bikta ... mard usse lekar pehda hota hai
Waqt pe shaadi na karo ... toh aadmi bahek hi jaata hai
Jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hai na ... toh aadmi uthta nahi ... utth jata hai
Tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh milti rahi hai ... lekin insaaf nahi mila my lord, insaaf nahi mila ... mili hai toh sirf yeh tarikh
Sher ke panjon se hirni chhut sakti hai ... makari ke jaal se makhkhi chhut sakti hai ... magar Zantala ke haathon se ladki nahi chhut sakti
Kaale jadoo ka asar insaano par hota hai ... hum jaise shaitaano par nahi
Pedh ke phal wohi khaata hai ... joh pedh ki daali par baitha hota hai
Insaan daulat ke liye apno ka khoon bhi baha deta hai
Hamare business ka ek ussool hai ... ke rupiya do toh ginn ke do, rupiya lo toh ginn ke lo
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
