Dialogues from Movies for Parties
Ladki thi jawaan, mamla tha sangeen ... jana tha Japan, pahunch gayi Cheen
Bachpan mein mujhe sikhaya gaya tha ... kisi airi gairi cheez ki mooh nahi laga karte
Main kisi ke saath mazaak kar sakta hoon ... lekin uski izzat ke saath nahi khel sakta
Pyar ki keemat aatey daal ke taraazo mein rakhkar nahi toli jaati ... sooli par chadkar aankhi jati hai
Isko din mein dikh gaya tara ... kya kheench ke chaata mara
Aaj mujhe pata laga hai ki main ek aise tangdil insaan ka beta hoon ... jiske paas apne bete ko dene ke liye aashirwad bhi nahi
Zamanat ho nahi sakti, shanivar ko itvar ko ... main kisi ko chhod nahi sakta, na dost ko na yaar ko
Hum saath jee nahi sake toh kya hua ... saath mar to sakte hai
Jise main jigar ka tukda samjhta tha, usne mere jigar ke tukde tukde kar diye ... jise main aankh ka tara samajhta tha, usne badnaami ka kajal banke mera mooh kala kar diya
Agar tumhare ishq ko koi laal jhanda dikhayega ... yakeen karo yeh ghalib unko dhanda dikhayega
Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah ... khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya
Na maal tera, na maal mera ... yeh maal hai bas maal-e-ganimat ... badhe buzurgon ne sach kaha hai ... maang mat, maang mat, maang mat
Yun toh bhuj chuka hai tumhare husn ka hookah ... aare ek hum hai joh gudh-gudhaye jaate hai
Kal se bekal hoon kisi kal mujhe kal nahi aati ... kal joh aa jaati mujhe kal toh bekal aati
Apni toh khair man gayi jab aap aayi thi yahan ... dhoonda kiye khud hi ho, jaane kahan kahan
Badna daam ka poocho na tum aaj ke is zamane mein ... subah joh thi char aane mein, shyam mein hai woh barah aane mein
Chai ki chah hai kuch aur nahi hai ... ek cup agar mil jaye parvah nahi hai
Paise mein kya rakha hai, baat karo tum prem pyar ki ... paise ki keemat sasti hai, mehengi dosti yaar ki
Samajh samajhke samajh ko samajho ... samajh samajhna bhi ek samajh hai ... samajh samajhke na joh samajhe meri samajh mein woh nasamajh hai ... teri samajh hi samajh nahi hai, samajh parayi ko bhi toh samajho ... samajh parayi ko joh na samajhe ... meri samajh mein woh nasamajh hai
Woh meri zindagi hai, meri aatma hai ... woh meri hai bilkul ussi tarah jis tarah is seene mein dhadakta hua dil mera hai ... is seene mein chalti hui saans meri hai ... in ragon mein daudta hua khoon mera hai
Khamoshi mein joh baat kahi jaati hai ... usse samajhne ke liye ek dard bhara dil chahiye
Mujh mein itna zehar bhara hai ... ki mujhe kaatkar shaitan bhi zinda nahi reh sakta
Woh aaye apun ke ghar khuda ki kismat hai ... kabhi apun darwaza bandh kar dete hai, kabhi kholte hai
Tujhe main itne dino tak bandh rakhunga saale ... jab tak tu chakki pees-peeskar sarkar ke liye itna paisa kama le ... ki sarkar ka jail banane ka karcha vasool ho jaye
Woh maar maroonga tujhe ... joh shaitan ne apni sauteli aulaad ko bhi nahi maari hogi
Aurat, aag aur sharab mard ke bas mein hi ho toh achcha hota hai ... mard inke bas mein ho, inka ghulam ban jaye ... toh yeh usse jala dalti hai
Tumhe kho diya hai paane ke baad ... teri yaad aayi tere jaane ke baad
Yeh chor aur police ki joh dosti hoti hai na badi mushkil se hoti hai ... aur jab hoti hai toh atoot hoti hai
Aurat aur sharab ka mila-jula nasha aaisa nasha hai ki ... bade bade sultan barbad ho gaye
Itna kamzor ho gaya hoon ki meri parchai ko bhi chakkar aa rahi hai
Zindagi ka doosra naam pyar hai ... pyar ka naam tum ho ... tum meri zindagi ka pehla pyar ho
Yeh duniya badi gol hai ... uske andhar lamba chauda hole hai ... hum dono ka bahut bada role hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
