Page 402 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

Dialogues from Movies for Parties

402 (of 459 pages) | 32 (of 14664 items)
1 401 402 403 459
Apun kutte ki woh dum hai joh barah baras nalli mein daalke rakho ... nalli tedhi ho jayegi ... apun seedha nahi hoga
Aulad na ho dukh hota hai ... aulad ho aur marr jaye bahut dukh hota hai ... lekin aulad ho aur nalayak, toh bardaash nahi hota
American ladki se ishq kar sakte hai ... shaadi nahi kar sakte ... aur desi ladki se shaadi kar sakte hai ... ishq nahi kar sakte
Jis tarah insaan purane kapde phekkar naye kapde pehan leta hai ... us hi tarah aatma bhi purane jism ko chhodkar naya jism dharan kar leti hai
Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Jinke haath na ho woh aatma se aashirwad dete hai
by: Dharmendra
from: Krodhi (1981)
code:
Samajhte ho ki sab samajhta hoon ... isse badhkar insaan ki nasamajhi aur kya ho sakti hai
by: Pran
from: Krodhi (1981)
code:
Hum police waale jis din yeh vardi pehen lete hai na ... us hi din se police waalon aur maut ka rishta kuch aas paas ka hi ho jaata hai
Bhagya ki rekhayein haathon mein nahi hoti ... insaan ke karamon mein hoti hai
by: Dharmendra
from: Krodhi (1981)
code:
Duniya mein aaisa mujrim koi pehda nahi hua ... jiska anth kanoon ne na likha ho
Bhagwan kuch bhi nahi ek insaan hai joh mahaan hai ... bhakti kuch bhi nahi ek shakti hai ... karam kuch bhi nahi ek kartavya hai ... prem kuch bhi nahi ek anand hai ... yeh anand agar tumhe prapt karna hai toh tumhe usse, mujhse, har ek se prem karna hoga
by: Pran
from: Krodhi (1981)
code:
Aurat ko apna maan, bhakt ko uska bhagwan, gareeb ko uski aan aur amir ko uski shaan ... bahut pyari hoti hai
by: Pran
from: Krodhi (1981)
code:
Jab zindagi daudti hai ... toh ragon mein behta hua khoon bhi daudta hai
Zulm aur jhoot ki dhaali par ek baar phal lagta hai ... dobara nahi
Kulhadi mein lakdi ka dasta na hota ... toh lakdi ke katne ka rasta na hota
Apni laashon se hum tarikh ko aabad rakhe ... woh ladai ho ki angrez jisse yaad rakhe
Main toh roz vilayat jata hoon ... aur roz vilayat se aata hoon
Duniya se mujhe kuch hisaab chukane hai ... ek bar chuk jaye uske bad aaram hi aaram hai
Log jab kamyabi ke ghode par savaar sone ki bani hui sadak par daudte hai ... toh woh yeh bhool jaate hai ki yeh sadak jail ki kaal kothri mein khatam hoti hai ya phansi ke takhte par
by: Pran
from: Kaalia (1981)
code:
Kutton aur bikhariyon ka andhar aana mana hai
by: Amjad Khan
from: Kaalia (1981)
code:
Tumhara baap Sahani kahan hai? ... bataoo warna goli chal gayi toh ... saara aata pata pooch kar wapas aa jayegi
Apne dushman ko maarna hai toh usse ussi ke hathyaar se maaroo
by: Unknown
from: Kaalia (1981)
code:
Ye sar kisi insaan ke samne nahi jhuk sakta jailer sab ... jhukega to uski chaukhat pe ... ya uski darbar mein jhukega
Kya naza ki takleefon mein mazaa, jab maut na aaye jawani mein ... kya luft janaza uthne ka, har gaam pe jab maatam na hua
Daulat ka pedh jab bhi ughta hai ... paap ki zameen mein hi ughta hai
by: Amjad Khan
from: Kaalia (1981)
code:
Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai jailer sahab ... Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha
Hum jaha khade ho jaate hai line wahin se shuru hoti hai
Aurat ki zindagi doodh ki tarah hoti hai ... jisko ek zara se namak ki dali bhi bekaar kar deti hai
Haath kangan ko aarsi kya ... joh Urdu padhe uske liye Farsi kya
Jab koi ladki tofha qabool karle toh samjho uske dil mein pyar ki ganti ke bajaye ... ganta bajhne lagta hai
Main bewda us waqt peeta hoon jab mereko gaanja nahi milta ... aur gaanja us waqt peeta hoon jab mereko afeem ki goli nahi milti ... aur goli main us waqt khata hoon jab mereko Campa Cola jaisi bottle waali koi potti na mile
Logon ki kismat mein toh lutna hi likha hai ... amir gareebon ko lootte hai, vyapari grahakon ko lootte hai aur neta janta ko lootti hai ... sabhi toh sabko lootte hai ... kalyug mein yahi hota raha hai aur yahi hota rahega
1 401 402 403 459

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..