Dialogues from Movies for Parties
Sharafat se baat karo taaki main tumhe sharafat se jawaab de sakon
Tum asteen ke woh saanp nikle jiska kaata pani tak nahi maangta
When I kill them ... they stay dead
Mere dil mein toh ek jwalamukhi hai jiske dhadakte sholon mein ... in logon ko zinda jala dene ko jee chahta hai
Pyar ek panchi hai joh aasman ki bulandiyon tak udhna chahta hai ... magar insaan ke farz aur majbooriyan usse dharti se door nahi jaane deti
Har smuggler desh ka gaddar hota hai ... aur charas ka smuggler apne desh ka hi nahi ... sari insaaniyat ka dushman hota hai
Khushi toh naam hai tumse nazar milane ka ... nazar milana ek bahana hai dil lagane ka
Lalach insaan ko ek pagal kutta bana deti hai ... joh apne malik ko bhi kaat leta hai
Joh aurat kisi ke pyar ki kasam kha chuki ho ... woh paraye mard ke haath lagne se hi mar jaati hai
Koi dil ke kitne paas hai yeh tab hi malum hota hai ... jab woh nazaron se door ho
Patte theek pad gaye toh jeet nahi toh haar ... jaise dil mil gaye toh pyar nahi toh takraar
Yakeen ek dhaage ki tarah hota hai ... joh toot jaaye toh jud nahi sakta ... aur agar joda jaaye toh gaant padh jaati hai
Ek ladki sab kuch bardasht kar sakti hai, lekin yeh kabhi nahi ... jisse woh chahe, kisi aur ko chahne lage
Doctor dawaon se jism ka ilaaj karta hai aur physiatrist dimaag se dimaag ka ... dil ke paas pahunch kar, usse samajh kar, samjha kar
Ek aurat sab kuch bhool sakti hai ... lekin yeh kabhi nahi ki uska pati kaun hai
Khoon teen kisam ke hote hai ... ek jis mein khoon behta hai ... doosra jis mein aansun behte hai ... aur teesra jis mein jazbaat beh jaate hai
Aadmi aaj ke zamane mein apna pet khud paal le ... wohi raja hota hai
Banakar faqeeron ka hum bhes ghalib ... tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hai
Kastoori ki mehak aur bhookhe ka chehra ... chupaye nahi chupta
Insaan ka charitra uske safed kapdon se hai ... safed kapda subah pehna, agar shaam tak vaise hi rahe ... toh insaan ka dil sacha hai ... woh aadmi saaf hai ... bolo kya khayal hai
Agar dukh na ho ... toh aane wale sukh ka aadmi maza bhi nahi le sakta
Tan dubla dubla, baal bikhare bikhare, aankhon ke neeche kaalik ... tumhari yeh haalat kisne ki balak?
Pyar ki shuruvat hai rota hai kya ... aage aage dekhiye hota hai kya
Bhool jao sab taaron ko, phoolon ko, bahaaron ko, aur yaad karo pehla chumban joh aag bhi tha aur sheetal bhi ... ab toh bas tum ho, roop tera, yowan tera, masti teri ... ab toh bas meri saansein hai teri palkon ko sek rahi ... bas do shareer ho jaye ek, dil itni baat manata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Tere nainon ki khidki se yeh mujhko kaun bulata hai ... chandni ishara karti hai aur chand sitaar bajata hai ... pagalpan mein kuch kar baithun toh doshi mujhko mat kehna ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai ... isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai ... arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai ... woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Rajni jise pyar se hum sab kahe cheeni ... chamke yun ghunghat mein joh badal mein chandni ... chupa rahi hoothon pe muskaan bhini-bhini ... sharmili aankhon mein hai sapno ki rangini ... yeh dulhan ke solah singaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai ... itna aur kahenge tumse dulha bhai ... hamari cheeni toh hai khoye cheeni ki mithai ... pyar ki dhoop mein hai yeh kali khilayi ... ispe na aaye kabhi dukh ki parchai ... yeh pyar ke mausam sada bahaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai
Yeh rang birange phoolon ke haar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai ... kitni khushi ki hai ghadi kaisi pyari baat ... aaj Rajni ke dwar aayi Amal ki baraat ... nazaren milke jhuk rahi hai haathon mein hai haath ... aaj se do jan rahenge milke ek saath ... yeh do dilon ke taaron ki jhankar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai
Teri aankhon mein doobun, ya teri palkon se khel karun ... ya kho jaun teri zulfon ke jungle mein, ya apna dil rakh doon tere komal pairon ke neeche ... ab shuru kahan se ho jaun, yeh nahi samjh mein aata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Kaatilon ke aage koi rasta nahi hota ... sirf kanoon ki ek kali deewar hoti hai
Pyar devtaon ka vardaan hai joh sirf bhagyashaliyon ko milta hai
Hamare kaam mein joh aadmi hoshiyar nahi rehta ... woh kisi waqt bhi phas sakta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
