Page 7 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Poem

Tag: Poem
7 (of 9 pages) | 32 (of 260 items)
1 6 7 8 9
Yeh hai mere dost, khate nahi ghost ... naam ka Bhagwan hai, dil ka insaan hai ... is hi ki meharbaani se gadha pehalwan hai
Yeh kaisa zamana hai ... har shaksh begana hai ... har aankh pe parda hai ... har honth pe taala hai ... par aaise zamane mein koi toh maseeh hoga ... khudgarz nahi hoga, bedard nahi hoga ... zulmon ke khilaaf apni awaaz uthayega ... woh shaksh yahin hoga, woh shaksh yahin hoga
by: Unknown
from: Misaal (1985)
code:
Sarakti jaye hai rukh se naqab aashista aahista ... nikalta aa raha hai aftab aahista aahista ... woh bedardi se sar kaate mera aur main kahun huzoor aahista aashita ... ab aa bhi jaiye aashita aahista
Yeh duniya khel madari ka, chalaki ka, hoshyari ka ... jeevan ki bansi par dukh ka dumroo dekho deta kaisi taal hai ... bol madari kiske liye yeh behroopiye ka haal hai ... paapi pet ka sawaal hai
Jabse dekha hai maine is daas ko ... na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
by: Amjad Khan
from: Maqsad (1984)
code:
Jisne pyar na kiya ... woh jiya toh kya jiya ... aaj khule aam kehte hai ... rab se pyara hai piya ... yaar ke baahon mein jiye ... aur yaar ke kandhon pe mare ... yaar se yaari nibhayein ... dil se dildaari karen
by: Unknown
from: Divorce (1984)
code:
Falak se awaaz hai ke aao ... tumhare layak na thi woh duniya ... tumhari khatir hum aasman par ek aur duniya saja rahe hai ... khuda ka irshaad ho raha hai ... falak nasheeno salaam bhejo ... lahu mein doobey shaheed-e-ulfat meri panahon mein aa rahe hai ... meri panahon mein aa rahe hai ... meri panahon mein aa rahe hai
Kriti ke pehle aaya hua vichar aur vichar ke baad waali kriti ... inke darmiyan aahuti joh maine di ... jin jin shanon mein main bhool gaya tha dehbaan ... jin jin shanon mein ulajh gaya tha kriti mein ... unhi shanon mein mujhe dikhai di tumhari sambhavna ki sampoorna akruti ... ho chuki hai ab meri kriti poori aur tumhari akruti bujh gayi
Chakravyuh mein ghusne se pehle kaun tha main aur kaisa tha, yeh mujhe yaad hi na rahega ... chakravyuh mein ghusne ke baad mere aur chakravyuh ke beech sirf jaanleva nikatta thi, iska mujhe pata hi na chalega ... chakravyuh se bahar nikalne par main mukt ho jaon bhale hi, phir bhi chakravyuh ki rachna mein fark hi na padega ... maron ya maaron, maara jaon ya jaan se maardon, iska faisla kabhi na ho payega ... soya hua aadmi jab neend mein se uthkar chalna shuru karta hai, tab sapnon ka sansar usse dobara dikh hi na payega ... us roshni mein joh nirnay ki roshni hai, sab kuch samaan hoga kya ... ek palhade mein napunsakta, doosre palhade mein parush aur theek tarazu ke kaante par ardh satya
Main ki main ko chhod de ... main na kisi ki hove ... joh marzi bhagwan ki ... woh tere sang sajoye
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Main tera dost hoon, tu haddi main gosht hoon ... tera mera saath hai, maut ki baat hai, dushman ki gardan mere haath hai ... yeh uski khopdi, yeh meri laat hai
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye ... bus ek baar mera kaha maan lijiye ... is anjuman mein aapko aana hai baar baar ... deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ... ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... pyar ki shabnam mein unsune geeton ko ... sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare ... khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko ... bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko ... moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ... adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum ... dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein ... kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ... haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ... door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta ... yeh mohabbat hai dilon ka rishta ... aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta ... tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi ... meri duniya ke har rang mein shamil tu hai ... tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ... tum hoti toh kaisa hota ... tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti ... tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota ... main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
Apne haathon se sawara hai tumhe kudrat ne, dekhkar dekhte reh jaane ko jee chahta hai ... noor hi noor chalakta hai haseen chehre se, bas yahi sajde mein gir jaane ko jee chahta hai ... mere daaman ko koi aur na chhu payega, tumko chhukar yeh kasam khane ko jee chahta hai
Sangemarmar se tarasha hua ye shaukh badan, itna dilkash hai ki apnane ko jee chahta hai ... surkh hooton mein terakhti hai woh rangeen sharaab, jisko pee peekay bahak jaane ko jee chahta hai ... naram seene mein dhadakte hai woh nazuk toofan, jinki leharon mein utar jaane ko jee chahta hai ... tum se kya rishta hai kab se hai yeh maloom nahi, lekin is husn pe mar jaane ko jee chahta hai ... humse behtar hai yeh pazeb joh is paon mein hai, issi pazeb mein dhal jaane ko jee chahta hai ... rakhle kal ke liye yeh doosri pazeb-e-dil, kal issi baz mein phir aane ko jee chahta hai
Bekhabar soye hai woh loot ke woh neendein meri, jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai ... kabse khamosh hue ho jaane jahan kuch bolo ... kya abhi aur sitam dhane ko jee chahta hai
Duniya mein sadaa rehne ko aata nahi koi ... tum jaise gaye aaise bhi jaata nahi koi ... kyun marke bhi honthon pe hassi khel rahi hai ... sab jaante hai aur batata nahi koi ... dil pehle hi darta tha ki jal jayega daaman ... daaman se amar deep bhujata nahi koi
by: Unknown
from: Amar Deep (1979)
code:
Shirdi mera Pandharpur, Shirdi pujya staan ... yahin viraje Vithal mere, saavare Ghanshyam ... yahin bahe Ganga Jamuna, yahi tirth mahan ... pranaam mera sweekar karo Sainath bhagwan
Bahaduri ka naya dhang sikha gaya hai koi ... chukake khoon ki keemat chala gaya hai koi ... Dharam aur Veer ka naam reh jaye dharti par ... sabak zamane ko aaisa sikha gaya hai koi
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua ... tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai
Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ... hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne ... hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
Bhool jao sab taaron ko, phoolon ko, bahaaron ko, aur yaad karo pehla chumban joh aag bhi tha aur sheetal bhi ... ab toh bas tum ho, roop tera, yowan tera, masti teri ... ab toh bas meri saansein hai teri palkon ko sek rahi ... bas do shareer ho jaye ek, dil itni baat manata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Tere nainon ki khidki se yeh mujhko kaun bulata hai ... chandni ishara karti hai aur chand sitaar bajata hai ... pagalpan mein kuch kar baithun toh doshi mujhko mat kehna ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai ... isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai ... arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai ... woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Rajni jise pyar se hum sab kahe cheeni ... chamke yun ghunghat mein joh badal mein chandni ... chupa rahi hoothon pe muskaan bhini-bhini ... sharmili aankhon mein hai sapno ki rangini ... yeh dulhan ke solah singaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai ... itna aur kahenge tumse dulha bhai ... hamari cheeni toh hai khoye cheeni ki mithai ... pyar ki dhoop mein hai yeh kali khilayi ... ispe na aaye kabhi dukh ki parchai ... yeh pyar ke mausam sada bahaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai
1 6 7 8 9

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.