dialogues for Tag:
Tag:
Tumhari jaisi ladkiyan apna naam ... kapdon ki tarah badalti hai
Roti, kapada aur makaan par kabza karne waalon ke dil ... choohe jaise hai
Joota kitna bhi keemti ho paon mein hi pehna jaata hai ... sar pe nahi
Iss tarah aanchalon se ulajhne ke shaukh ya kaanton ko hota hai ya mardon ko ... sheron ko nahi
Saari ka kaam khoobsurati ko chupana nahi ... ubhaarna hai
Daaman uska aaya purze hokar haath mein ... udh gayi sone ki chidiya, reh gaye par haath mein
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage ... seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Taleem aur libaas se aadmi ki appearance badli ja sakti hai ... uska character nahi badla ja sakta
Aurat ke aanchal mein kutumb ki, desh ki, insaan ki aabroo hoti hai
Logon ke paas tann dhakne ko kapda nahi ... aur inhe tann dhakne ka shaunk nahi
Shehar mein rehkar, nayi roshni mein palkar ... hamara libaas badal sakta hai ... hamari sabhyata toh nahi
Yeh zindagi ki mehfil, mehfil mein hum akele ... daaman ko koi chume, zulfon se koi khele
Libaas badal dene se aatma nahi badal jaati
Khoobsurati kapde ko char chaand laga deti hai ... toh kapda bhi ussi khoobsurati ko aasman pe uchaal deta hai
Chori ka kapda laathiyon ke gaj napta hai
Mera daata mujhpar meherban hai ... mere mooh mein chandi ki zabaan hai ... mere haath mein sone ki kamaan hai ... joh bhi mere aage aayega ... muft mein joote khake jayega
Mera joota hai Japani, yeh patloon Englishtani, sar pe laal topi Russi ... phir bhi dil hai Hindustani
Ishq toh sabhi karte hai ... lekin sabka kurta pyjama, coat patloon nahi ban jaata
Bas yahi toh hamare naye samaaj ka kamaal hai ... joh chor ho, doosron ke jeb kaatte hai, public ki aankhon mein dhool daalte hai, mere jaisa patla suit pant pehente hai ... unhe hum sharif samajhte hai ... aur joh imandaari se, mehnat mazdoori karke pet paalte hai, phate purane kapde pehente hai ... unhe chor daaku awaara samajhkar dhar liya jaata hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
