dialogues for Tag: Action
Tag: Action
Nishana meri pistol ka hi nahi ... meri dimaag ki soch ka bhi bahut pakka hai
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai ... kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de ... aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye ... yeh hum bhi nahi jaante
Main Trishanku ki tarah hoon ... chahe mere haath pair cheer daalo, tukde tukde kar dalo ... main phir ek ho jaonga ... yahi meri fitrat hai
Main tumhe ek saath kahi mautein doonga
Kal jab suraj doobega toh sirf aasman hi nahi ... hamare dushmano ke khoon se dharti bhi laal ho jayegi
Aaisi nass dabaonga ki cheenk nikal jayegi
Bijli ka woh jhatka lagega ... ki tu jhatakna bhool jayega
Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
Maidan mein khule sher ka samna karoge ... tumhare mard hone ki galatphami door ho jayegi
Jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hai na ... toh aadmi uthta nahi ... utth jata hai
Sher ke panjon se hirni chhut sakti hai ... makari ke jaal se makhkhi chhut sakti hai ... magar Zantala ke haathon se ladki nahi chhut sakti
Ab sailaab aayega Madan Chopra ... sailaab aayega
Hilna nahi ... nahi toh goli maar maarke bina plastic surgery ke tumhara face bighad dega
Hilna nahi ... hilega toh dobara life mein hilne ka chance nahi milega
Agar hum in kutton ke haath lag gaye ... toh yeh kutte hum mein kutte ki maut maar dalenge
Bata de haramzade ... nahi toh tadap tadapkar aur sisak sisakar marega tu
Main us haramzade ko aaisi bhayanak maut doonga ... ki kaali duniya ka har mujrim gaddari ke naam se kaanp uthega
Aaj main apni hukumat ki adaalat ka gawah bankar, vakil bankar, judge bankar ... tum jaise khoon ka sauda karne waale saudagar ko sazaa deta hoon ... sazaaye maut
Jis bhagwan ko tu maanta hai ... uske saamne aaj aakhri baar apne haath uthakar dua maangle ... kyun ki aaj ke baad tere haath kabhi nahin uthenge
Ajgar apne shikaar ko das kar nahi maarta ... balki usse apne lapet mein jakadkar uski haddiyon ke tukde tukde kar deta hai ... aur uski saanson ka gubaar nikal deta hai
Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma ... aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma
Tumhare aur maut ke beech ... meri pistol se nikli sirf ek goli ka faasla reh gaya hai
Ladkon se agar ladna hai toh ladakpan mein aana hi padega ... pachpan se nikalkar bachpan mein aana hi padega
Tujhe aaisi maut maroonga ... ki teri paapi atma agle saat janam tak, kisi doosre shareer mein ghusne ke pehle kaanp uthegi
Maratha marta hai yah maarta hai
Na talwaar ki dhaar se, na goliyon ki bauchaar se ... banda darta hai toh, sirf parvar digaar se
Jab mujhpar koi haath uthata hai toh mera sar phir jaata hai ... aur jab mera sar phir jaata hai toh main saamne waale ki duniya phira deta hoon
Apna toh style hi yehi hai ... bandook bhi apni, taqat bhi apni, aur nishana bhi apna
Isse main hazar tarah se, hazar baar, hazar maut maaroonga
Main sirf teri jaan lena nahi chahta ... main yeh chahta hoon ki tu tadap tadapkar mare ... guzarne waala har pal tujhse kahe ki yamdoot tere peeche peeche aa rahe hai
Jaako raakhe saaiya maar sake na koi ... aur jaako maare saaiya usse bacha sake na koi
Tumne mere bhai ke jism se jitne khoon ke katre bahaye hai ... main tumhare jism ko cheerkar utne hi hisson mein baant doonga
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
