dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Main yahan aaya toh tha ek saude ko bachane ke liye ... magar ab Meera ko uski qaid se azaad karne ke liye ... main apni zindagi ka bhi sauda kar sakta hoon
Aurat ka ek bar jab byah ho jaata hai na ... toh uska naya janam hota hai
Ahinsa ko hathyaar banakar dushmano se ladna chahiye
Woh insaan mahaan hai joh apne aap se sacha ho
Jis din naam bataonga ... us din ke baad kabhi bhulega nahin tu
Darr insaan ke liye bahut zaroori hai ... woh tumhe hadh mein rakhta hai
Jab zameer bikta hai ... toh zindagi bhi soot sameth vasooli karti hai
Taqt ki parvah badshah se zyada uske vazir ko hoti hai
Mujhe andhera pasand hai ... tumhare aane waale kal ki yaad dilata hai
Kahi baar ... do achche log milkar ek achchi life nahi bana sakte
Galati ko sudhaarne ka ek bhi mauka na dena ... usse bhi bada gunaah hai
Bachne waale ko har baar naseeb ki zaroorat padti hai ... aur maarne waale ko sirf ek baar
Mujhpar ek ehsaan karna ... ki mujhpar koi ehsaan na karna
Jab ek vazir marta hai ... toh mamooli sa pyada, vazir ban jaata hai
Teri age aur teri baatein match nahi karti
Joh hathyar se nahi darrta ... woh pyar se darrta hai
Is duniya mein do type ke log hote hai ... ek woh joh khud batate hai ki woh kaun hai ... doosre woh jinke baare mein duniya batati hai ki woh kaun hai
Intelligence aur performance ... background ka mohtaj nahi hota
Aap the zero, hai zero, aur aap hamesha rahenge zero
Meri zindagi toh zameen ki hi thi ... par main aasmano mein udh rahi thi
Jisne kam mein jeena seekh liya ... usse kabhi kami nahi hoti
Jisse tairna aata hota ho ... usse doobkar atmahatya karne ki koshish nahi karni chahiye
Zindagi ko ab saalo ki jagah lamho mein ginana seekh lo
You should never say never
Kabhi kabhi adults bahut complicated hote hai ... kisi se bahut pyar karke bhi, unke saath nahi reh paate
Inhe sirf todna aata hai bhook ke naam par, lalach ke naam par, bhasha ke naam par ... aur hum mein sirf batna aata hai dharm ke naam par, jaat ke naam par, raj ke naam par, raja ke naam par
Aaj har lamha ek jeevan ki tarah jeeyenge
Hamara desh ek sone ki chidiya hai, jise aap log bech-bechkar, bech-bechkar apne pet mein dharna chahte ho ... phat jayega pet, mooh mein nahi aayegi chidiya ... kyun ki ab woh chidiya baaz ban chuki hai ... joh aapko noch-nochke, noch-nochke kha jayegi
Kamzoron par taqat aazmana ... kamzoron ki taqat hai
Kamaan se nikla teer ... aur zabaan se nikli baat kabhi wapas nahi aati
Rajputana khoon mein itna ubaal hai ... ki agar aanch lag jaaye toh gori chamdi kaali padh jaaye
Joh hai woh nahi hai ... aur joh nahi hai woh ho sakta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
