Page 31 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Shayari

Tag: Shayari
31 (of 42 pages) | 32 (of 1315 items)
1 30 31 32 42
Ban gaya main bhi mazdoor aaj se ... aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
by: Amjad Khan
from: Maqsad (1984)
code:
Fiza bhi kuch nashe mein hai ... shabaab hai, sharaab hai ... joh yeh nahi toh zindagi azaab hi azaab hai
Is ghar ko aag lag gayi ghar ke chirag se ... baat teri meri ban gayi tere dimaag se
Tere bina main nahi, mere bina tu nahi ... hamare bina prem nahi, prem bina hum nahi
Husn hai zaat meri, ishq sifat hai meri ... hoon toh main shamma, magar bhes hai parwaane ka
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Angdhai na lena aaise haathon ko uthakar ... seene se tere dekh dupatta na satak jaye
Aap kare aaram hum kare vishram ... aam ke aam guthliyon ke daam
Hum do hamare do, teesra kabhi na ho ... patni se bhaiya door raho, kitni bhi adhchan ho
Khat kabutar kis tarah le jaye bam-e-yaar par ... par kattarne ke liye hai kaichiyan deewar par ... jawab hai ki khat kabutar is tarah le jaye bam-e-yaar par ... khat ka mazmoon ho paron par, par katte deewar par
Husn ka raaz zamane se chupaye rakhiye ... dil mein jalta hua ek shola dabaye rakhiye
Hum mein bhi aa padha hai doston se kaam kuch yaani ... hamare doston ke bewafaa hone ka waqt aaya
Bade gaur se sun raha tha zamana ... tum hi so gaye dastan kehte kehte
Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum ... umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse
Is kambakht neend ko kya hua ki aati hi nahi ... aur tumhari yaad hai ki jaati hi nahi
by: Unknown
from: Avtaar (1983)
code:
Kaun kiske kareeb hoga, apna apna naseeb hoga ... yaad karega jab azeez koi, dard dil ke kareeb hoga
by: Unknown
from: Avtaar (1983)
code:
Mazaa toh jab hai aa jaye kahin unki tabhiyat bhi ... zara woh bhi toh jaane karvatein kyun kar badalte hai
Kya husn ne samjha hai, kya ishq ne jaana hai ... hum khaak nasheeno ki thokar mein zamana hai
Maut se kiski rishteydari hai ... aaj hamari kal tumhari baari hai
Allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud ... rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
Hum aankh kiye bandh tasavur mein pade ho ... aaise mein koi cham se aa jaye toh kya ho?
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar ... aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar
Do mithiyan galaan kar kudiye haske sadde naal ... arre saath khade hum dono lagte hai Sohni Mahiwal
by: Jeetendra
from: Samraat (1982)
code:
Meri jaan tujhe mere haathon marna hai ... usko yaad karle jisse yaad karna hai
Kal mila waqt toh zulfein teri suljha doonga ... aaj uljha hoon halaat ke suljhane mein
Maana ke pareshan hoon, lachaar nahi hoon ... insaan hoon, bikne ko main taiyaar nahi hoon
Unko aata hai pyar pe gussa ... humko gusse pe pyar aata hai
Ab ke hum bichade toh shayad kabhi khwabon mein mile ... jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein mile
by: Raj Babbar
from: Nikaah (1982)
code:
Sachai chup nahi sakti banawat ke usoolon se ... khushboo aa nahi sakti kabhi kagaz ke phoolon se
Roshni chand se hoti hai sitaron se nahi ... dosti ek se hoti hai hazaron se nahi
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Kitne toofan uthaye aankhon ne, naav yaadon ki doobti hi nahi ... tujhse milne ki, tujhko paane ki koi tatbir soojti hi nahi
by: Rekha
from: Umrao Jaan (1981)
code:
1 30 31 32 42

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.