Dialogues from Movies for Parties
Tu apne aap ko nilaam bhi karde ... toh mere zameer ki keemat nahi laga sakega
Shabdon ki talwar rishton ki woh dor kaat degi ... jise hum dono bandhe hai
Chhot dil par lagi thi aur dard ka sailaab ragon mein umad raha tha
Kaun hai woh jisne meri maa ke gale se mamta ka zevar utaarkar apne naam ka mangalsutra pehna diya ... kaun hai woh jiski lambi umar ke liye meri maa Karva Chauth ka vrat rakhti hai ... kaun hai woh joh meri maa ke dil mein mohabbat bankar aur mere dil mein nafrat bankar panap raha hai?
Aasoon peene se achcha hai aadmi sharab pee le
Khabardaar joh meri maa ke pair chuye kamine ... maa ke pairon tale swarg hota hai aur main tujhe in pairon ko chune ke kabil nahi samajhta
Har aurat ko bhabi aur har ladki ko behen kahunga ... sivah tumhare
Mere lahoo ko bana diya hai teri dua ne ab toh aag ... apna doodh na bakshna tu, joh na laya tera suhaag
Yeh woh kamina safed posh kasai hai ... joh peshe ki aad mein laashon ka karobaar kar raha hai
Waqt ne teri yadasht ko bhale hi khokla kar diya ho ... lekin tera diya hua har zakhm meri maa ke dil mein utna hi taza hai ... jitne mere daaman par mere baap ke aasoon
Jitna khoon mere haath se baha hai ... utna toh tune maa ka doodh bhi nahi piya hoga
Aap hi jaise logon ki buzdili ki kok se nikli hui najayaz aulaaden hai yeh
Kisi bhi achchi cheez ko mashoor hone mein waqt lagta hai
Sab kuch khuda se maang liya tujhko maangkar ... uthte nahi hai haath mere is dua ke baad
Jung chahe farz ki ho ya dilon ki ... humein dono jeetna aata hai
Jab zindagi se khushi mitt jaye na ... toh Diwali sirf ek aag banke reh jaati hai
Ab samajh mein aaya upar waale ka yeh khel ... jab woh aulaad deta hai ... toh dil mein uske liye dard bhi apne aap hi de deta hai
Joh bhi pyar se mila hum us hi ke ho liye ... jahan par khatiya mili hum wahin pe soo liye
Itna zoor se laafa marke mooh laal kar doonga ... ki zindagi bhar yeh paan khane ki zaroorat nahi padegi
Jis saanp ko main sari zindagi apna khoon pilata raha ... us saanp ne aaj mujhko dassa hai
Agar mere maa baap ko kuch hua na ... kaat daloonga
Kar bhala toh ho bhala
Samajhta nahi hai yaar
Main hoon Nandu sabka bandhu
Kal ke baad is mulk ke nasal ki ragoon mein khoon nahin ... hamara becha hua zehar daudega
Wahi jam jao, varna iski laash postmortem ke bhi layak nahi rahegi
Tumhari gardan ke naap ka phanda tayyar kar liya hai maine
Chaal pe chaal chalne ki meri aadat hai
Ek baar jab main faisla kar leta hoon toh, joh sochta hoon woh karta hoon ... joh chahta hoon woh paata hoon
Insaan ki sabse badi guarantee uska apna zameer hota hai
Shayad aaj tak aisa koi mila hi nahin ... jise main apne zakhm dikha sakon
Mujhe duniya ka sabse daulatmand aur sabse shaktishali insaan banna hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
