dialogues for Tag:
Tag:
Duniya mein koi bhi anaath nahi hota ... har ek ko apna sukh dukh baatne ke liye koi na koi saathi mil hi jaata hai
Hamare ghav bahut gehre hai ... woh itni aasani se nahin bharne waale
Zindagi mein kuch gham aaise bhi hote hai ... jinse insaan ka rishta zindagi bhar ka hota hai
Agar kisika dukh baatna hi chahte ho ... toh kaam kuch aisa karo ... ke doosro ki zindagi mein khushi aaye
Yeh duniya gham toh deti hai, lekin sharikh-e-gham nahi hoti ... aur is duniya mein kisi ke door jaane se na, mohabbat kam nahi hoti
Dard agar insaan ke apne daire mein rahe toh saha ja sakta hai ... magar joh dard doosron ka dard ban jaye ... usse apno mein baant lena hi behtar hota hai
Jiska dil gham ki tanhaiyon mein ujadh gaya ho ... woh bahar se kitna hi sehatmand lagta ho, lekin andar se toh bimaar hi rehta hai
Tussi ja rahe ho? ... tussi na jao
Jab rishta zindagi mein aata hai ... toh saath aankhon mein aasoon aur dil mein dard lekar aata hai
Ab kachoo nahi hona hai ... sirf rona hi rona hai
Stri ko apne pati ka saaya bankar rehna chahiye ... chahe sukh mein ho ya dukh mein
Gham se khali nahi jism ka kona koi ... hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi
Mujhko lambi umar ki dua na do ... jitni ghuzri nagawar ghuzri
Mohabaat ka dard bada jaan leva hota hai
Pyar hum dono ne kiya ... magar tadapna sirf mere naseeb mein aaya
Maine itne aasoon dekhe hai ... ke unhe jama karta toh ek samundar ban jaata
Yeh upar waala hai na hamesha chuhe billi ka khel khelta hai ... kabhi itna sukh deta hai ki sambhala nahi jaata ... kabhi itna dukh de deta hai ki dil se nikala nahi jaata
Udhar log mitane jaate hai gham ... aur uska naach dekhke nikal jaata hai ache-achon ka dum
Chalo ro lo ... kyun ki aaj ke baad is ghar mein koi royega nahi
Usne rulaya hai ... wohi hasayega
Gehre se gehra zakhm bhi itna dard nahi deta ... jitna aaj tumne mujhe diya hai
Aasoon kamzor logon ke zevar hote hai
Udaasi ka sirf ek sur hota hai, jisse pakadkar main jeeti rahi hoon ... aur gusse ka bhi ek hi sur hota hai, jisse pakadkar tum jee rahe ho ... magar zindagi mein saat sur hote hai ... kya hum in saaton suron ko pakadkar nahi chal sakte
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Maa ka dil sab kuch jaanta hai ... bete ka sukh, bete ka dukh ... sab kuch usse pehle se hi maloom hota hai
Zalalat ka joh kaanta mere dil mein gadh gaya hai ... uski chubhan mujhe zindagi bhar tadpaati rahegi
Dukh chupane ke kamaal ko hassi kehte hai
Yeh zindagi thode aasoon aur thodi hassi se milkar bani hai ... aankh se tapke hue har aasoon mein aane waali khushi ki kiran chupi hai ... jeevan ka sangeet chupa hai
Aasoon peene se achcha hai aadmi sharab pee le
Avesh ho ya dukh ho, gussa ho ya khushi ... apni bhavnaon ko paanch minute tak roke rakho ... un paanch minuton mein mann shaant ho jayega ... aur shaant mann se lena waala har ek faisla achcha hi hoga
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha ... meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha
Duniya ke rachaita Brahma ne har insaan ka bhagya likhkar hi usse is duniya mein bheja hai ... sukh aur dukh uske zaroori ang hai ... is baat ko samajhkar joh jeeye us hi ka naam zindagi hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
